Showing posts with label sagar siddiqui ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label sagar siddiqui ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, September 16, 2009

azmat-e-zindagi ko bech diya

azmat-e-zindagi ko bech diya
hamne apni khushi ko bech diya
chashm-e-saaqi ke ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya
rind jaam-o-subu pe hansate hain
shekh ne bandgi ko bech diya
rah_guzaron pe lut gayi raadha
shaam ne baansurii ko bech diya
jagmagate hain vahashaton ke dayar
aql ne aadmi ko bech diyaa
lab-o-rukhsar ke ivaz hamne
sitvat-e-khusravi ko bech diya
ishq beharuupiya hai ae 'sagar'
aap ne sadgi ko bech diya

Friday, June 12, 2009

sagar siddiqui ki shayyiri

chhupaye dil mein ghamon ka jahan baithe hain
tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain
ye aur baat ki manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai ki raahon ko chhan baithe hain
fugaan hai dard hai soz-o-firaaq-o-daag-e-alam
abhi toh ghar mein bahut meharban baithe hai.n
ab aur gardish-e-taqadiir kya satayegi
luta ke ishq mein naam-o-nishan baithe hain
vo ek lafz-e-mohbbat hi dil ka dushman hai
jise shariat-e-ehsaas maan baithe hain
hai maikadon ki bahaaron se dosti 'sagar'
badhaae hadh-e-yaqiin-o-gumaan baithe hain

Friday, June 5, 2009

sagar siddiqui ki shayyiri

ye jo deewane se do chaar nazar aate hain
inn mein kuch sahib-e-asraar nazar aate hain
teri mehfil ka bhram rakhte hain soa jaate hain
varna yeh log toh bedaar nazar aate hain
mere daaman mein toh kaanton ke siva kuch bhi nahin
aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega
sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain

wel come