kuch ajab zindagi ke manzar hain
duur tak reit ke samandar hain
meri hii roshani ke peikar hain
chand shaklen jo dil ke andar hain
dil jo therare toh kuch suraag mile
qarz kis kis nazar ke ham par hain
hai badi cheez naazuki dil ki
kis se kahiye ki log patthar hain
khul gayi aankh toh khula ham par
khwab bedaariyon se behtar hain
khamoshi khud hai ek gehrayi
chup hain jo log woh samandar hain
zakhm par kya guzar gayi 'sahir'
reza reza tamaam nashtar hain
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label saahir ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label saahir ki shayyiri. Show all posts
Tuesday, June 23, 2009
Monday, November 24, 2008
saahir ki shayyiri
"खुदा के वास्ते अब बेरुखी से काम ना ले
तड़प के फिर कोई दामन को तेरे थाम ना ले
बस एक सजदा-ए-शुकराना पा-ए-नाज़ुक पर
यें मैकदा है यहाँ पर खुदा का नाम ना ले
ज़माने भर मैं हैं चर्चे मेरी तबाही के
मैं डर रहा हूँ कहीं कोई तेरा नाम ना ले
मिटा दो शौक़ से मुझको मगर कहीं तुमसे
ज़माना मेरी तबाही का इंतकाम ना ले
जिसे तू देख ले इक बार मस्त नज़रों से
वो उम्र भर कभी हाथों मैं अपने जाम ना ले
रखूँ उम्मीद-ए-करम उससे अब मैं क्या "साहिर"
कि जब नज़र से भी ज़ालिम मेरा सलाम ना ले
*
"Khudaa ke vaaste ab beruKhii se kaam na le
taDap ke phir koii daaman ko tere thaam na le
bas ek sajdaa-e-shukraanaa paa-e-naazuk par
ye maikadaa hai yahaaN par Khudaa kaa naam na le
zamaane bhar men hain charche merii tabaahii ke
main Dar rahaa huuN kahiin koii teraa naam na le
miTaa do shauq se mujhako magar kahiin tumase
zamaanaa merii tabaahii kaa intaqaam na le
jise tuu dekh le ik baar mast nazaron se
vo umr bhar kabhii haathon men apane jaam na le
rakhuuN ummiid-e-karam usase ab main kyaa "Sahir"
ki jab nazar se bhii zaalim meraa salaam na le

Subscribe to:
Posts (Atom)