Showing posts with label muzaffar warsi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label muzaffar warsi ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

shola hun bhadakne ki guzarish nahin karta

shola hun bhadakne ki guzarish nahin karta
sach munh se nikal jaata hai koshish nahin karta
girti hui diwaar ka hamdard hun lekin
chadate huye suuraj ki parastish nahin karta
maathe ke pasiine ki mahak aaye toh dekhen
vo khuun mere jism mein gardish nahin karta
hamdardi-e-ahbaab se darta hun 'muzaffar'
main zakhm toh rakhta hun numaaish nahin karta

meri tasviir mein rang aur kisi ka toh nahin

meri tasviir mein rang aur kisi ka toh nahin
gher len mujhko sab aa ke main tamasha toh nahin
zindgi tujhse har ik saans pe samjhauta karuun
shauq jiine ka hai mujhko magar itna toh nahin
ruuh ko dard mila dard ko aankhen na mili
tujhko mehsuus kiya hai tujhe dekha toh nahin
sochte sochte dil duubane lagata hai mera
zahan ki teh mein 'muzaffar' koi dariya toh nahin

maana ke musht-e-khaak se badhkar nahin hun main

maana ke musht-e-khaak se badhkar nahin hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahin hun main
insan hun dhadakte huye dil pe haath rakh
yun duubkar na dekh samandar nahin hun main
chehre pe mal raha hun siyahi nasiib ki
aaiina haath mein hai sikander nahin hun main
gaalib teri zamin mein likhi toh hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahin hun main

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai
jism se aag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun ke ab anjaam-e-safar kya hoga
log bhi kaanch ke hain, raah bhi patharili hai
shiddat-e-qarb mein toh hansna qarb hai mera
haath hi sakht hain zanjiir kahan Dhili hai
gard aankhon mein sahi daag toh chehre pe nahin
lafz dhundhale hain magar fikr toh chamakili hai
ghol deta hai sama'at mein vo mitha lahja
kis ko mallum ke ye qind bhi zaharili hai
pehle rag-rag se meri khuun nichoda ussne
ab ye kehta hai ke rangat hi meri pili hai
mujhko be-rang hi na kar de kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
meri parwaz kisi ko nahin bhati toh na bhaaye
kya karun zehan 'muzaffar' mera jibarili hai

Friday, June 5, 2009

muzaffar warsi ki shayyiri

yun ek pal mat soch ke ab kya ho skata hai
ek lamhe ki oaut bhi parda ho sakta hai
inn ankhon ke andhar bhi darkaar hain ankhen
cehre ke peeche bhi chehra ho sakta hai
kuch ruuhen bhi chalti hain besaakhi le kar
aadha shaks bhi poora qad ka ho skata hai
kandhe kariiyal ke hon aur gathrii burhiyaa ki
bojh uthaa kar bhi jii halka ho sakta hai
mujhse milkar bhi vo mera haal na puuche
saavan bhi kya itna suukha ho sakta hai
itni khamoshi bhi achchi nahin hai logon
sannaton se bhi hangama ho sakta hai
iss duniya mein na_mumkin nahin 'muzaffar'
duudh bhi kala, shahd bhi kadwa ho skata hai

Friday, May 29, 2009

muzaffar warsi ki shayyiri

meri judaiyon se vo mil kar nahin gaya
usske bagaiir main bhi koi marr nahin gaya
duniya mein ghuum-phir ke bhi aise laga mujhe
jaise main apnii zaat se baahar nahin gaya
kya khuub hain hamari taraqqi-pasandiyan[progressive thoughts]
ziine[stairs] banaa liye koi upar nahin gaya
jugraaphiye ne kaat diye raaste mere
taarikh ko gila hai ke main ghar nahin gaya
aisi koi ajeeb imaarat thi zindagi
baahar se jhaankta raha andar nahin gaya
sab apne hi badan pe 'muzaffar' saja liye
vapas kisi taraf koi patthar nahin gaya

Thursday, April 16, 2009

muzaffar warsi ki shayyiri

मेरी जिंदगी किसी और की, मेरे नाम का कोई और है
मेरा अक्स है सर-ए-आइना, पस-ए-आईना कोई और है
मेरी धडकनों मैं है छाप सी, यें जुदाई भी है मिलाप सी
मुझे कया पता, मेरे दिल बता, मेरे साथ कया कोई और है
ना गए दिनों को खबर मेरी, ना शरीक-ए-हाल नज़र तेरी
तेरे देस में, मेरे भेष में, कोई और था कोई और है
वो मेरी तरफ निगरान रहे, मेरा धयान जाने कहाँ रहे
मेरी आँख में कई सूरतें, मुझे चाहता कोई और है

muzaffar warsi ki shayyiri

meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai
mera aks hai sar-e-aaina, pas-e-aaina koi aur hai
meri dharkanon mein hai chap si, ye judai bhi hai milap si
mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur hai
na gaye dinon ko khabar meri, na sharik-e-haal nazar teri
tere des main, mere bhes main, koi aur tha koi aur hai
wo meri taraf nigaraan rahe, mera dhyan jaane kahan rahe
meri ankh mein kai suraten, mujhe chahta koi aur hai

Tuesday, March 31, 2009

muzaffar warsi ki shayyiri

mana ke musht[muthi bhar]-e-khaak se badhkar nahin hun main
lekin hawa ke reham-o-karam par nahin hun main
insaan hun dhadakte huye dil pe haath rakh
yun doobkar na dekh samndar nahin hun main
chehre pe mal raha hun siyahi naseeb ki
aaina haath mein hai sikandar nahin hun main
ghalib teri zamin mein likhi toh hai gazal
tere kad-e-sukoon ke barabar nahin hun main

Monday, December 22, 2008

muzaffar warsi ki shayyiri

हाथ आँखों पे रख लेने से खतरा नहीं जाता दीवार से भूचाल को रोका नहीं जाता दावों के तराजू में तो अजमत नही तुलती फीते से तो किरदार को नापा नहीं जाता फरमान से पेड़ों पे कभी फल नहीं लगते तलवार से मौसम को बदला नहीं जाता चोर अपने घरों में तो नहीं नकाब लगाते अपनी ही कमाई को तो लुटा नहीं जाता औरों के खयालात कि लेते है तलाशी और अपने गिरेबाँ में झाँका नहीं जाता फौलाद से फौलाद तो कट सकता है लेकिन कानून से कानून बदला नहीं जाता तूफ़ान में हो नाव तो कुछ सबर भी आ जाये साहिल पे खड़े होके तो डूबा नहीं जाता दरिया के किनारे तो पहुँच जाते हैं प्यासे प्यासों के घरों तक तो दरिया नहीं जाता अल्लाह जिसे चाहे उसे मिलती है 'मुज़फर' इज्ज़त को दुकानों से ख़रीदा नहीं जाता

muzaffar warsi ki shayyiri

haath aankhon pe rakh lene se khatraa nahin jaata diwaar se bhuuchal ko roka nahin jaata daavon ki taraazu mein toh azmat nahin tulti fiite se toh qirdaar ko naapaa nahin jaata [qirdaar : character; fiite : (measuring string] farmaan se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam ko badla nahin jaata [farman : hukam; pedon : trees] chorr apne gharon mein toh nahin naqab lagate apni hi kamai ko toh luuta nahin jaata auron ke khayalaat ki lete hain talaashi aur apne garibaan mein jhaanka nahin jaata faulaad se faulaad toh kat sakta hai lekin kaanuun se kaanuun badla nahin jaata tufaan mein ho naav toh kuch sabr bhi aa jaaye saahil pe khade ho ke toh duba nahin jaata dariya ke kinare toh pahunch jaate hain pyaase pyasoon ke gharon tak toh dariya nahin jaata Allah jise chahe usse milti hai "“Muzaffar” izzat ko dukaanon se khariida nahin jaata

wel come