Showing posts with label "Daag" ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label "Daag" ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

raha na dil mein vo be_dard, aur dard raha

raha na dil mein vo be_dard, aur dard raha
muqeem kaun hua hai, makaam kis ka tha

Tuesday, August 11, 2009

paigham

rupesh hua sunte hi paigham hamara
dhoondho koi qasid ko ki ab tak toh yahi tha

roz-e_zaza

bana roz-e_zaza jiski saza ko
meri qadre-gunahgaari toh dekho

Friday, July 3, 2009

lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai

lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai
ranj bhi aise uthaye hain ke jee janta hai...
jo zamane ke sitam hai woh zamana jaane
tune dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai...
muskurate huye woh majmaa agiyaar ke saath
aaj yun bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai...
innhi qadmon ne tumhare innhi qadmo ki qasam
Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai
saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi
tune andaz woh paaye hain ke jee janta hai...
qaba-o-dair mein pathra gayi dono ankhein
aise jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai...
tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz
vo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai
dosti mein teri, darparda hamare dushman
iss qadar apne paraye hain ke jee janta hai...
'daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se
iss tarah kheinch ke laye hain ke jee janta hai

Monday, June 22, 2009

"Daag" ki shayyiri

mujh sa na de zamane ko parvardigaar dil
aashufta dil. fareefta dil, beqaraar dil
har baar maangti hain naya chashm-e-yaar dil
ik dil ko kis tarha se banaaun hazaar dil
ye sead-gaah-e-ishq hai, thehraaiye nigah
sayaad-e-muztrib se na hoga shikaar dil
karte ho erhd-e-wasl toh itna rahe khayal
paimaan se zeyada hai na-paayedaar dil
taseer-e-ishq ye hai, tere ehd-e-husn mein
mitti ka bhi banaayen toh ho be-qaraar dil
aalam hua tamaam, raha ussko shauq-e-jor
barsaaye asmaan se parvardigaar dil
pehle pehal ki chah ka kijiye na imtehaan
aana toh seekh le abhi do chaar baar dil
mashhuur hain sikandar-o-jam ki nishaniyan
ae 'daagh'! chod jaayenge ham yaadgaar dil

Wednesday, June 10, 2009

"Daag" ki shayyiri

tumhare khat mein naya ik salaam kis ka tha
na tha raqeeb toh akhir vo naam kis ka tha
raha na dil mein vo bedard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha

waffa karenge nibhayenge baat maanenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalaam kis ka tha
guzar gaya vo zamana kahun toh kis se kahun
khayal dilko mere subah-o-sham kis ka tha

vo qatl kar ke har kisi se puchhte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha
na puchh-taachh thi kisi ki na aav-bhagat
tumhari bazm mein kal ehatamaam kis ka tha
suna jo tum ne baa-dil vo payaam kis ka tha

inhiin sifa'at se hota hai adami mashhuur
Jo lutf aap hi karate toh naam kis ka tha
har ek se kahte hain kya "daag" bewaffa nikala
ye puuchhe innse koii vo gulam kis ka tha

Tuesday, June 2, 2009

"Daag" ki shayyiri

le chala jaan meri ruuth ke jaana tera
aise aane se toh behtar tha na aana tera
tu jo ae zulf-e-pareshan raha karati hai
kis ke ujade huye dil mein hai thikana tera
apanii aankhon mein abhi kaund gayi bijali si
hum na samajhe ki ye aanaahai ke jaanaatera
tu khuda toh nahi ae nashe nadaan mera
kya khata ki, jo kaha maine na mana tera
ye samajh kar tujhe, ae maut, गले laga rakha hai
kaam aata hai bure waqt mein aana tera
'daag' ko yun vo mitate hain, ye farmate hain
tu badal daal hua naam purana tera

Monday, June 1, 2009

"Daag" ki shayyiri

tar-daamani pe shaikh hamari na jaayio
daman jo nichoden toh frishte vazu karen

Saturday, May 30, 2009

"Daag" ki shayyiri

aarzoo-e-wafaa kare koi
jii na chahe toh kya kare koi
gar maraz ho dawa kare koi
marne_wale ka kya kare koi
koste hain jale huye kya kya
apne haq mein du'a kare koi
unnse sab apni apni kehte hain
mera matlab ada kare koi
chah se aap ko toh nafrat hai
mujhko chahe khuda kare koi
yeh mili daad ranj-e-furqat ki
aur dil ka kaha kare koi
tum sarapa ho surat-e-tasveer
tum se phir baat kya kare koi
kehte hain hum nahin khuda-e-kariim
kyon hamaari khata kare koi
munh lagate hi 'daag' itraaya
lutf hai phir jaffa kare koi

Thursday, May 21, 2009

"Daag" ki shayyiri


khoob parda hai ki chilman se lage baithe hai
saaf chupte bhi nahi saamne aate bhi nahin

Sunday, May 10, 2009

"Daag" ki shayyiri

zamana bahut bad-gumaan ho raha hai
kisi shakhs ka imtihaan ho raha hai
surili sadyein hain ek shokh ki si
ilaahi ! ye jalsa kahan ho raha hai
bahut hasrat aati hai mujhko ye sun kar
kisi par koi mehrabaan ho raha hai
teri zulm-e-pinhaan abhi kaun jaane ?
faqat aasman aasman ho raha hai
in ankhon ne iss dil ka kya bhed khola ?
ke muztar mera raazdaan ho raha hai
sunu kya khabar jashn-e-ishrat ka qaasid ?
jahan ho raha hai, vahan ho raha hai
vo haal-e-tabiyat jo barson chhupaya
har ek shakhs se ab bayaan ho raha hai
koi udd ke aaya, koi chhup ke aaya
pashemaan tera paasban ho raha hai
kahin do ghadii aap shabnam mein soye
jo rukh par arq dur-fishaan ho raha hai
ye behoshiyaan "daag", ye khawab-e-ghaflat
khabar bhi hai jo kuch vahaan ho raha hai

"Daag" ki shayyiri

ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ta-qayamat na phir ashkaar hota
tere dil pe kash zalim mujhe ikhtiyar hota
jo tumhari tarha tumse koi jhoote daave karta
tumhi munsifi se keh do tumhe aitbaar hota
ye maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti
na tujhe qaraar hota na mujhe qaraar hota
na maza hai dushmani mein, na hai lutf dosti mein
koi ghair ghair hota, koi yaar yaar hota
tere vaade par sitamgar abhi aur sabar karte
magar apni zindgi ka hamen aitbaar hota
tumhe naaz ho na kyunkar ke liya hai 'daag' ka dil
ye raqam na haath lagti na ye iftikhar hota

Thursday, May 7, 2009

"Daag" ki shayyiri

taarif-e-zaur aur phir uss shaddomad[jor-shor] ke saath
meri juban ne mujhko jhootha bana diya

"Daag" ki shayyiri

log marne ko bhi kehte hai wisaal
ye agar sach hai toh marr jaate hain hum

"Daag" ki shayyiri

taarif-e-zaur aur phir uss shaddomad[jor-shor] ke saath
meri juban ne mujhko jhootha bana diya

"Daag" ki shayyiri

zikr mehar-o-vaffa toh hum karte
par tumhen sharmsaar kaun kare

"Daag" ki shayyiri

bana li sharm_aluda[sharminda] nigahen
tagaful mein ye hushiyari toh dekho

Saturday, April 25, 2009

"Daag" ki shayyiri

yaad hai kehna veh kisi waqt ka
hosh mein aao tumhen kya ho gaya
dam mere seene mein jo rukta hai aaj
kaun khuda jaane khaffa ho gaya
haal mera dekh ke kehte hain vo
koi hasin iss se juda ho gaya

"Daag" ki shayyiri

vo ruswai[badnaami] se darr jaaye toh achcha
buraayi kaam kar jaaye toh achcha
kaha zaalim ne mera haal sun kar
vo iss jeene se marr jaaye toh achcha
gazab hai intzaar-e-vaada-e-hashr[qaymat ki wait]
yahi keh kar mukar jaaye toh achcha
vo takleef-e-ayaadat kyun karen 'daag'
meri unnko khabar jaaye toh achcha

"Daag" ki shayyiri

aashna[jaankar] tu hai apne matlab ka
faisla ho chuka hai yeh kab ka
daag-e-mai ko na dekh ae jaahid
dil toh hai paak rind-mashrab[shraabi] ka
kaafir-e-ishq kyun muslmaan ho
sab ko hai paas apne mazhab ka
pehle inkaar aur phir dushnaam[gaali]
ye natiza hai arz-e-matlab[prayer] ka
sukar hai 'daag' kamyaab hua
haq-taala[God] bhala kare sab ka

wel come