Showing posts with label babar ali anees ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label babar ali anees ki shayyiri. Show all posts

Thursday, July 9, 2009

babar ali anees ki shayyiri

karbala (marsiyaa)

garmi kaa roz-e-jang ki kyon kar karun bayan
dar hai ke masl-e-shamaa na jalane lage zaban
vo luu ke alhazar ! vo hararat ke alaman
ran ki zamin toh surkh thi aur zard aasman
aab-e-khanak ko khalaq tarasti thi khaak par
goya hawa se aag barsati thi khaak par
vo luu vo aaftab ki shiddat vo tab-o-taab
kaala tha rang dhuup se din ka misaal-e-shab
khud nahar-e-alqma ke bhi suukhe huye thaye lab
khaime jo the habaabon ke tapte thay sab ke sab
udati thi khaak khushk tha chashma hayaat ka
khaula hua tha dhuup se paani faraat ka
jhiilon se charapaye na uthte thay ta ba shaam
maskin mein machhalion ke samandar ka tha maqaam
aahuu jo kaahile thay toh chiite siyaah_faam
paththar pighal ke reh gaye thay masl-e-maum khaam
surkhii uddi thi phuulon se sabzii gayah se
paani kueyen mein utra tha saaye ki chah se
koson kisi shajar mein na gul thay na barg-o-baar
ek ek nakhal jal raha tha surat-e-chinaar
hansta tha koi gul na lehkta tha sabazraar
kaanta hui thi suukh ke har shaakh-e-baar daar
garmi ye thi ki ziist se dil sab ke sard thay
patte bhi masle-e-chehra-e-madquuq zard thay
aab-e-ravaan se munh na uthaate thay janvar
jangal mein chhipate phirte thay taair idhar udhar
mardam thay saat pardon ke andar araq se tar
khas_khaana-e-mizhgan se nikalti na thi nazar

gar chashm se nikal kar thahar jaaye raah mein
par jaayen laakh aable_paa-e-nigaah mein
sher uthte thay na dhuup ke maare kachhaar se
aahuu na munh nikalte thay sabzazaar se
aaiina mahar ka tha muqaddar gubaar se
gardun ko tap chadi thi zamin ke bukhaar se
garmi se muztarib tha zamana zamiin par
bhun jaata tha jo girta tha daana zamin par
girdaab par tha shola-e-jawala ka guman
angaare thaye habaab toh paani sharar fishan
munh se nikal padi thi har ek maujki zaban
tah par thay sab nihang magar thi labon pe jaan

paani tha aag garmi-e-roz-hisaab thi
maahi jo seekh-e-mauj tak aayi kabaab thi

aaiina-e-falak ko na thi taab-o-tab ki taab
chhipne ko barq chahti thi daaman-e-sahaab
sab ke siva tha garm mizaajon ko iztiraab
kafuur-e-subah dhundhta phirta tha aaftab
bhadaki thi aag gumbad-e-charkh-e-asiir mein
badal chhipe thay sab kurrah-e-zamharir mein


wel come