kuch khayal aate hain aur aa ke chale jaate hain
aaiina-sa mujhe dikhala ke chale jaate hain
saath marr ke bhi raha mere gham-e-tanhaai
varna ahabaah toh dafana ke chale jaate hain
meri tanhaai ke saathi mere saagar-meena
ab toh ye bhi mujhko behaka ke chale jaate hain
kitni badnaam hai bazaar-e-muhbbat mein waffa
log iss cheez ke paas aa ke chale jaate hain
jinko ham apna samjhate thay vahi hamko 'saba'
dekh lete hain toh katara ke chale jaate hain
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label shanti saba ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label shanti saba ki shayyiri. Show all posts
Tuesday, June 16, 2009
Friday, April 17, 2009
shanti saba ki shayyiri
jab namaaz-e-muhbat ada kijiye
gair ko bhi shareek-e-dua kijiye
aankh wale nigahen churaate hain
aaiina kyun na ho saamna kijiye
aankh mein ashk-e-gam aa bhi jaaye toh kya
chand qatre toh hain, pii liya kijiye
aap ka ghar sada jagmagata rahe
raah mein bhi diya rakh diya kijiye
zer-e-paa hain samandar ki gahriyan
ab toh sahil pe bhi tuzurba kijiye
gair ko bhi shareek-e-dua kijiye
aankh wale nigahen churaate hain
aaiina kyun na ho saamna kijiye
aankh mein ashk-e-gam aa bhi jaaye toh kya
chand qatre toh hain, pii liya kijiye
aap ka ghar sada jagmagata rahe
raah mein bhi diya rakh diya kijiye
zer-e-paa hain samandar ki gahriyan
ab toh sahil pe bhi tuzurba kijiye
Subscribe to:
Posts (Atom)