jo shajar shukh gaya hai vo hara kaise ho
main payimbar toh nahin mera kaha kaise ho
dil ke har zarre pe hai naksh muhbbat usski
noor aankhon ka hai aankhon se juda kaise ho
jisko jana hi nahin ussko khuda kyun maane
aur jise jaan chuke hain, vo khuda kaise ho
umar saari toh andhere mein nahin ka'at sakti
hum agar dil na jalaayen toh jia'a kaise ho
jis mein do roz bhi khul kar na mulakaat hui
muddaton baat mile bhi toh gila kaise ho
kin nigahon se usse dekh raha hun 'shezad'
mujhko toh mallum nahin, ussko pata kaise ho
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label shehzad ahmed ki shayyiri. Show all posts

Sunday, June 21, 2009
Friday, June 5, 2009
shehzad ahmed ki shayyiri
jal bhi chuke parwane ho bhi chuki rusvai
ab khaak udaane ko baithe hain tamaashai
taaron ki ziyaa[lite] dil mein ek aag lagaati hai
aaram se raaton ko sote nahin saudaai
raaton ki udaasi mein khaamosh hai dil mera
behis[careless] hain tamanayen neend aayi ke maut aayi
ab dil ko kisi karwat aaram nahin milta
ek umar ka rona hai, do din ki shanaasaai[knowledge]
ek shaam vo aaye thay ek raat farozaan[lit-up] thi
vo sham nahin lauti vo raat nahin aayi

Sunday, May 31, 2009
shehzad ahmed ki shayyiri
apni tasviir ko aankhon se lagataa kya hai
ik nazar meri taraf dekh tera jata kya hai
meri rusvai mein tu bhi hai barabar ka sharrik
mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai
paas rehkar bhi na pehchaan sakaa tu mujhko
duur se dekh kar ab haath hilaata kya hai
safar-e-shauq mein kyun kaantpate hain paanv tere
duur se dekh kar ab haath uthaata kya hai
umar bhar apne girebaan se uljhane wale
tu mujhe mere saaye se daraata kya hai
marr gaye pyaas ke mare toh uthaa abr-e-karam
bujh gayi bazm toh ab shama jalaata kya hai
main tera kuch bhi nahin hun, magar itna toh bataa
dekh kar mujhko tere zehan mein aata kya hai

Saturday, May 9, 2009
shehzad ahmed ki shayyiri
haal usska tere chehre pe likha lagta hai
vo jo chup-chaap khada hai, tera kya lagta hai
yun teri yaad mein din raat magan rehta hun
dil dhadkna tere qadmon ki sada lagta hai
yun toh har cheez salaamat hai meri duniya mein
ek talluq hai ke jo tuuta hua lagta hai
ae mere jazba-e-duruun mujh mein kashish hai itni
jo khataa hota hai vo teer bhi aa lagta hai
jaane main kaun si pasti mein gira hun "shehzad"
iss qadar duur hai suraj ki ... diya lagta hai

Subscribe to:
Posts (Atom)