Showing posts with label rajesh reddy ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label rajesh reddy ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

mere chehre pe jab chehra nahin tha

mere chehre pe jab chehra nahin tha
main aaine se yun darta nahin tha
mujhe jhukna pada har ik ke aage
mere qad se koi oocha nahin tha
payiaadon ne hi di qurbaaniyan sab
sahidon mein koi raza nahin tha
jahan jaise nazar aata tha jo kuc
vahan darasal vo waisa nahin tha
vahi ghar mere andhar reh raha tha
main jis ghar mein kabhi rehna nahin tha
tha baazaron mein jiska bol-bala
hamare paas vo siqqa nahin tha
pashemaan tha gawahi de ke main toh
vo qaatil ho ke sharminda nahin tha
vo meri fikr ka karqaz tha lekin
main usski soch ka hissa nahin tha

roj ghiste jaate hain

roj ghiste jaate hain
bas din kat'te jaate hai
padhta kaun hai jiwan ko
varq palt'te jaate hai
chadar toh kya badhni hai
paanv simat'te jaate hain
judte jaate mazhad se
rab se kat'te jaate hain
roj simat'ti duniya mein
insan bant'te jaate hain
badhti jaati hai umreN
jivan ghat'te jaate hain
bante jaate taj mehal
haath bhi kat'te jaate hai
roj naye bazaaron se
raste pat'te jaate hain
chandan ke gun walon se
saanp lipat'te jaate hain

dil kahan behla hai behalane se bhi

dil kahan behla hai behalane se bhi
tashna hi lauta hai maikhane se bhi
mere jeene se hua kuch bhi kahan
kuch na hoga mere marr jaane se bhi
dil ki fitrat hai junoon-dwaangi
kuch na samjhega ye samjhaane se bhi
kab ruka hai gulistan ka karobaar
chand-ik phool ke murjhaane se bhi
zindgi doori hai ik uljhi hui
kab suljhati hai ye suljhaane se bhi
ghar mein reh kar ghar se ik doori bhi hai
ek kurbat-si hai viraane se bhi
chand sannaton ki guunjo ke shiva
kya milega dil ke tehkhane se bhi
vo jo markaz thay haqiqat ke kabhi
ho gaye gayab vo afsaane se bhi
ab kuua'N bharta nahin lekin kabhi
peit bhar jaata tha ik daane se bhi
maut raasta hai ya manzil ishq ki
puch kar dekho ye parwaane se bhi
sukriya ya rab ki sachchi shayari
ho gyi mujh jaise diwaane se bhi

hum ashiq hain uss darpan ke

hum ashiq hain uss darpan ke
daag chipaye jo daaman ke
sochta kuch hai karta kuch hai
kitne maalik hain ik mann ke
umr ganwa di humne lekin
bhed na khud paaye jiwan ke
bojh huye ab toh sapne bhi
jaise bachche nirdhan ke
kis ko rok saki hai dharti
sab hain raahi duur gagan ke
dost lipat'te hain yun humse
ped ho jaise hum chandan ke
raat hai ya hai koi tawaaif
roz nikalti hai ban-than ke
chodo bhi mehboob ki baate
shair kaho kuch ghar aangan ke

mujhe maloom hai mujhko pareshani mein rehna hai

magar se dushmani rakhte huye paani mein rehna hai
mujhe maloom hai mujhko pareshani mein rehna hai
kafs mein aazadi pe kyun khushiyan manaon main
mujhe bahar bhi sayaadon ki nigrani mein rehna hai
hikarat hi hikarat hai maine jis aankhon mein
mujhe ik roz unn ankhon ki hairaani mein rehna hai
rahun main dast mein ya shehr mein kya farq padta hai
mujhe toh umr bhar hi viraani mein rehna
bohat aasan hai har baat ko mushkil bana dena
bada mushkil magar lehje ki aasani mein rehna hai

Tuesday, January 5, 2010

kahin sab se nibhana pad gaya toh ?

mere peeche zamana pad gaya toh
kahin sab se nibhana pad gaya toh ?
jahan ik baar pagdi gir chuki hai
ussi mehfil mein jana pad gaya toh ?
jise luta tha sau haathon se humne
khazana vo lutana pad gaya toh ?
hamen hasne ki aadat hai ghamon mein
khushi mein muskurana pad gaya toh ?
dubone mein lage ho dusron ko
kabhi khud ko bachana pad gaya toh ?
jise tum bhool jana chahte ho
usse sachmuch bhulana pad gaya toh ?
na itna naaz kijiye dosti par
kisi din aazmana pad gaya toh ?
zara si aur paane ki hawas mein
kahin sab kuch ganwana pad gaya toh ?

har kisi ki zuban par main hun

har kisi ki zuban par main hun
satwein aasman par main hun
reh gaye saare aasman peeche
itni oonchi uddan par main hun
kuch shikaari hain muntzir mere
aur apni machaan par main hun
zindgi ! dekh le uddasi ko
aakhri payedaan par main hun
aap toh khatam kar chuke thay hamen
kya karun meharbaan ! par "main" hun
peecha karta hai jis par aaina
umar ki uss dhalaan par main hun

wel come