Showing posts with label parvin shakir ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label parvin shakir ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti

lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti
kab tak tumhari Aankhon se duniya ko dekhti
tufan ke jal mein meri be baza'ati
basti ko dekhti kabi dariya ko dekhti
bBas dhoop aur raat hai aur pyar ka safar
kya dil ke samne kisi sehra ko dekhti
uss chashme-card mujer ke sab rang dekh Ker
kya ishtiaq-e-arz-e-tamanna ko dekhti
uss shehr-e-beniaz mein jab tak raha qiyam
hasrat rahi ke chashme-shanasaa ko dekhti.!!

Sunday, August 23, 2009

vo shaks

ab toh iss raah se vo shaks guzarta bhi nahin
ab kis ummid pe darwaaze se jhaanke koi

khwab

jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
iss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi

ek uljhan sii

ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho
ek uljhan sii raha karti hai rozana hamen

rida chini mere sar se

rida chini mere sar se magar main kya kehti
kata hua toh na tha haath mere bhai ka


Tuesday, August 11, 2009

gham-e-firaq

gham-e-firaq ke qisse, nashaate-wasl ka zikr
rivayatan hi sahi, koi baat toh karte

baat hai ruswai ki

kaise keh doon ki mujhe chhod diya hai ussne
baat toh sach hai magar baat hai ruswai ki

Wednesday, July 29, 2009

sabz maddham roshni mein

sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamare mein machalti garm saanson ki mahak
baazuuon ke sakht halqe mein koi naazuk badan
silvaten malabuus par aanchal bhi kuch dhalka hua
garmi-e-rukhsar se dehki hui thaandi hawa
narm zulfon se mulayam ungaliyon ki chhed chhad
surkh honton par shararat ke kisi lamhen ka aks
reshmi baahon mein chuudi ki kabhi maddham dhanak
sharmagiin lahajon mein dhiire se kabhi chaahat ki baat
do dilon ki dhadakanon mein guunjti thi ek sada
kaanpate honton pe thi allaah se sirf ek dua
kaash ye lamhe thahar jaayen thahar jaayen zara

kho kar mujhe ye ladki kahin dukh se marr na jaaye

khushbu hai vo toh chhu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
khud phuul ne bhi hont kiye apne niim-vaa
chori tamaam rang ki titali ke sar na jaaye
iss khauff se vo saath nibhane ke haq mein hai
kho kar mujhe ye ladki kahin dukh se marr na jaaye
palkon ko usski apne dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun usse aaj ki dua
qaasid hawa sitara koi usske ghar na jaaye

kuch faisla toh ho ki kidhar jaana chahiye

kuch faisla toh ho ki kidhar jaana chahiye
paani ko ab toh sar se guzar jaana chahiye
har baar ediiyon pe gira hai mera lahu
maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye
kya chal sakenge jinka faqat mas'laa ye hai
jaane se pehle rakht-e-safar jaana chahiye
saara jawar-bhataa mere dil mein hai magar
ilzaam ye bhi chand ke sar jaanaa chahiye
jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baam tha vahi
aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye
tohmat laga ke maan pe jo dushman se daad le
aise sukhan_farosh ko marr jaana chahiye

abr-e-bahaar

abr-e-bahaar ne
phuul ka chehra
apne banafshi haath mein le kar
aise chuuma
phuul ke saare dukh
khushbu ban kar beh nikle hain

rukne ka samay guzar gaya hai

rukne ka samay guzar gaya hai
jaana tera ab thahar gaya hai
rukhsat ki ghadii khadi hai sar par
dil koi do-niim kar gaya hai
maatam ki faza hai shahr-e-dil mein
mujh mein koi shaks marr gaya hai
bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khwab-e-saba bikhar gaya hai
bas ik nigah ki thi ussne
saara chehra nikhar gaya hai

raat guzar gayi

sundar komal sapanon ki barat guzar gayi jaanaan
dhuup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gayi jaanaan
bhor samay tak jis ne hamen baham uljhaaye rakha
vo albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaan
sada ki dekhi raat hamen iss baar mili toh chup ke se
Khaali haath pe rakh ke kya saugaat guzar gayi jaanaan
kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab toh dhuup ka mausam hai barsat guzar gayi jaanaan
log na jaane kin raaton ki muuraaden maanga karte hain
apni raat toh vo jo tere saath guzar gayi jaanaan

tum kinara dekhna

baad-baan khulane se pehle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bichadana bhi bohat aasan na tha uss se magar
jaate jaate usska vo mud ke dobara dekhna
kis shabaahat ko liye aaya hai darwaze pe chaand
ae shab-e-hizran zara apna sitara dekhna
aaiine ki aankh hi kuch kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna


Sunday, June 28, 2009

parvin shakir ki shayyiri

zabt ki, shahar_panah[rampart] ki mere maalik khaiir
gham ka sailaab agar mujhko bahane aaye

Tuesday, June 23, 2009

parvin shakir ki shayyiri

sakuun bhi kam hua, neend bhi hai kam kam phir
qareeb aane laga duuriyon ka mausham phir
bana rahi hai teri yaad mujhko sil-e-guher
piro gaye hai meri palkon mein aaj shabnam phir
vo narm lehje mein kuch keh raha hai phir mujhse
chida hai pyar ke komal suron mein muddam phir
tujhe manaun ke apni anaa ki baat sunu
ulajh raha hai mere faislon ka reshan phir
na usski baat main samjhun na vo meri nazren
muaamlaat-e-zaban ho chalen hain mubbum phir
yeh aane wala naya dukh bhi usske sar hi gaya
chatakh gaya meri angishtari[finger] ka neelam phir
vo ek lamha ke jab saare rang ek huye
kisi bahaar ne dekha na aisa sangam phir
bohat aziz hain aankhein meri usse, lekin
vo jaate jaate innhen kar gaya purnam phir

parvin shakir ki shayyiri

gaye baras eid ka din kya achcha tha
chaand ko dekh ke usska chehra dekha tha
dua ki be_awaaz uloohi lamhon mein
vo lamha bhi kitna dilkash lamha tha
haath utha kar jab aankhon hi aankhon mein
ussne mujhe apne rab se manga tha
phir mere chehre ko haathon mein le kar
kitne pyar se mera maatha chuma tha
hawa ! kuch aaj ki shab ka bhi ihwaal suna
kya vo apni chhat par aaj akela tha
ya koi mere jaise saath tha, aur ussne
chand ko dekh ke usska chehra dekha tha

Monday, June 22, 2009

parvin shakir ki shayyiri

issi mein khush hun mera dukh koi toh sehta hai
chali chalun ki jahan tak ye saath rehta hai
zamiin-e-dil yunhi shadaab toh nahi ae dost !
qareeb mein koi dariya zaroor behta hai
na jaane kaun sa feekha kahan raqam ho jaaye
dilon ka haal bhi ab kaun kis se kehta hai
mere badan ko nami kha gayi ashkon ki
bhari bahaar mein jaise makaan dhehta hai

parvin shakir ki shayyiri

rasta bhi katthin, dhuup mein shiddat bhi bohat thi
saaye se magar ussko, muhbbat bhi bohat thi

Sunday, June 21, 2009

parvin shakir ki shayyiri

kamal-e-zabt ko khud bhi tog aazmaungi
main apne haath se usski dulhan sajaungi
sapurd kar ke usse chandni ke haathon
main apne ghar ke andheiron ko laut aaungi
badan ke qarb ko woh bhi samajh na payega
main dil mein ro'ungi aankhon mein muskuraungi
woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruuth sakungi, kise manaungi
woh ek rishta-e-be_naam bhi nahi lekin
main ab bhi usske isharon pe sar jhukaungi
bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood
woh so ke uthe toh khawabon ki rakh uthaungi
jawaz dhuund raha tha nayi muhbbat ka
woh keh raha tha ke main ussko bhool jaungi

wel come