kuch faisla toh ho ki kidhar jaana chahiye
paani ko ab toh sar se guzar jaana chahiye
har baar ediiyon pe gira hai mera lahu
maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye
kya chal sakenge jinka faqat mas'laa ye hai
jaane se pehle rakht-e-safar jaana chahiye
saara jawar-bhataa mere dil mein hai magar
ilzaam ye bhi chand ke sar jaanaa chahiye
jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baam tha vahi
aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye
tohmat laga ke maan pe jo dushman se daad le
aise sukhan_farosh ko marr jaana chahiye
No comments:
Post a Comment