Showing posts with label ayaz jhanswi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ayaz jhanswi ki shayyiri. Show all posts

Thursday, July 9, 2009

ayaz jhanswi ki shayyiri

bebasi zurm hai hausala zurm hai
zindagi teri ik-ik ada zurm hai
ae sanam tere baare mein kuch soch kar
apne baare mein kuch sochna zurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek zurm tha
bhuul jaana tujhe dusara zurm hai
kya sitam hai ke tere hasiin shehr mein
har taraf gaur se dekhna zurm hai

ayaz jhanswi ki shayyiri

dekha toh mera saaya bhi mujhse juda mila
socha toh har kisi se mera silsila mila
shahr-e-waffa mein ab kise ahal-e-vaffa kahen
ham se gale milaa to vo hii bevafaa milaa
fursat kise thi jo meri haalat puuchhta
har shaks apne baare mein kuch sochta mila
ussne toh khair apanon se moda tha munh haaye
maine ye kya kiya ke main gaiiron se ja mila

ayaz jhanswi ki shayyiri

na shivaale na kalisaa na haram jhuuthe hain
bas yahi sach hai ke tum jhuuthe ho ham jhuuthe hain
hamne dekha hi nahin bolte unnko ab tak
kaun kehta hai ke patthar ke sanam jhuuthe hain
unnse miliye toh khushi hoti hai unnse mil kar
shahr ke dusare logon se jo kam jhuuthe hain
kuch toh hai baat jo tahariiron mein taasiir nahin
jhuuthe fankaar nahin hain toh qalam jhuuthe hain


wel come