Showing posts with label ahmed hamdani ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ahmed hamdani ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, July 7, 2009

ahmed hamdani ki shayyiri

na jaane aaj ye kis ka khayal aaya hai
khushi ka rang liye har malaal[sorrow] aaya hai
vo ek shaks ki haasil na tha jo khud ko bhi
mitaa kisi pe toh kaisa bahaal aaya hai
zuban pe harf-e-talab[word of desire] bhi nahin koi phir bhi
nigah-e-dost mein rang-e-jalaal[colour of anger] aaya hai
kiya na zikr bhi jiska tamaam umar kabhi
hamare kaam bohat vo malaal aaya hai
nahin hai tumse koi dosti bhi ab toh magar
qadam qadam pe ye kaisa vabaal[trouble] aaya hai

ahmed hamdani ki shayyiri

ab ye hoga shayad apani aag mein khud jal jaayenge
tum se duur bahut rah kar bhi kyaa paaya kya paayenge
dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chahat mein
hamne kitane dhoke khaye kitne dhoke khaayenge
aql pe hamko naaz bahut tha lekin ye kab socha tha
ishq ke haathon ye bhi hoga log hamen samajhayenge
kal ke dukh bhi kaun se baaqi aaj ke dukh bhi kai din ke
jaise din pahle kaate thay ye din bhi kat jaayenge

hamse aabla-paa jab tanha ghabarayenge sahra mein
raste sab tere hi ghar ki jaanib ko mud jaayenge
aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai
mujhse chhut kar bhi ahal-e-gham kya tujhse chhut jaayenge

wel come