Showing posts with label ali ahmed jalili ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ali ahmed jalili ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, July 7, 2009

ali ahmed jalili ki shayyiri

khushi ne mujhko thukaraya hai ranj-o-gham ne paala hai
gulon ne berukhi ki hai toh kaanton ne sambhala hai
muhabbat mein khayal-e-saahil-o-manzil hai nadani
jo inn raahon mein lut jaaye vahi taqadiir wala hai
charaagan kar ke dil bahla rahe ho kya jahan walo
andhera lakh raushan ho ujala phir ujala hai
kinaron se mujhe ae nakhuda duur hi rakhna
vahan le kar chalo tufan jahan se uthane wala hai
nasheman hi ke lut jaane ka gham hota toh kya gham tha
yahan toh bechane waalon ne gulshan bech daala hai

ali ahmed jalili ki shayyiri

kaati hai gham ki raat bade ehatram se
aksar bujha liya hai charaagon ko sham se
raushan hai apni bazm aur iss ehatmaam se
kuch dil bhi jal rahe hain charaagon ke naam se
muddat hui hai khoon-e-tamnna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jaam se
subah-e-bahaar ham ko bulati rahi magar
ham khelte rahe kisi zulfon ki shaam se
har saans par hai maut ka pehara laga hua
aahista ae hayaat guzar iss maqaam se
kaati tamaam umar fareb-e-bahaar mein
kaante sametate rahe phuulon ke naam se
ye aur baat hai ke ‘ali’ ham na sun sake
aawaz uss ne di hai hamen har maqaam se

ali ahmed jalili ki shayyiri

ab chhalkte huye saagar nahin dekhe jaate
tauba ke baad ye manzar nahin dekhe jaate
mast kar ke mujhe auron ko laga munh saaqi
ye karam hosh mein reh kar nahin dekhe jaate
saath har ek ko iss raah mein chalna hoga
ishq mein rahzan-o-rahbar nahin dekhe jaate
hamne dekha hai zamaane ka badalna lekin
unnke badle huye tevar nahin dekhe jaate


wel come