Showing posts with label sudarshan fakir ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label sudarshan fakir ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

ishq ki aisi rivayat

dil toh rota rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivayat ne dil tod diya

Sunday, June 21, 2009

sudarshan fakir ki shayyiri

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chiin lo mujhse meri jawani
magar mujhko lauta do bachpan ka sawan
vo kaghaz ki kashti vo barish ka pani

mohalle ki sabse nishani purani
vo budhiya jise bache kehte thay nani
vo nanii ki baaton mein pariyon ka dera
vo chehre ki jhudiyon mein sadiyon ka pehra
bhulaye nahi bhool sakta hai koi
vo choti si raatein vo lambi kahani

kardi dhuup mein apne ghar se nikalna
vo chidiya vo bulbul vo titli pakadna
vo gudiya ki shadi mein ladna jhagadna
vo jhulon se girna vo gir ke sambhalna
vo pital ke chalon ke pyare se tohfe
Vo tooti hui chudiyon ki nishani

kabhi reit ke unche tilon pe jana
gharonde banana bana ke mitana
vo maasum chahat ki tasviir apni
vo khwabon khilanon ki jaagir apni
na duniya ka ghum tha na rishton ke bandhan
badi khobsurat thi vo zindgani

Saturday, June 20, 2009

sudarshan fakir ki shayyiri

agar hum kahen aur vo muskura de
hum unnke liye zindgani luta de
har ik mod par ghamon ko saza de
chala zindgi ko mohbbat bana de
agar khud ko bhule toh kuch bhi na bhule
ke chahat mein unnki khuda ko bhula de
kabhi gham ki andhi jinhen chu na paaye
waffaon ke hum vo nasheman bana de
qaymat ke diwane kehte hain humse
chalo unnke chehre se parda hata de
saza de sila de bana de mita de
magar vo koi faisla toh suna de

Thursday, May 7, 2009

sudarshan fakir ki shayyiri

ye muhbbat, ye dosti, ye waffa
sab wasele hai dil dukhane ke

Tuesday, March 17, 2009

sudarshan fakir ki shayyiri

agar hum kahein aur wo muskura dein
hum unnke liye zindgani luta dein
har ek mod par ghamon ko saza dein
chalo zindgi ko mohabbat bana dein
agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule
Ke chahat mein unnki khuda ko bhula dein
Kabhi gham ki aandhi jinhein chu na paye
wafaon ke hum wo nasheman bana dein
qayamat ke deewane kehte hain humse
chalo unnke chehre se parda hata dein
saza de, sila de, bana dein, miita dein
magar wo koi faisla to suna de

wel come