Showing posts with label gulaab ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label gulaab ki shayyiri. Show all posts

Monday, June 8, 2009

gulaab ki shayyiri


dil toh humne lagaya hai, aap chup kyun hai?
daav ye humne ganwaya hai, aap chup kyun hai?
log kya kya nahi kehte hai hamen duniya mein !
aap ka naam bhi aaya hai, aap chup kyun hai?
yeh toh kahiye ki nazar kyun hai khoi khoi hui
bhed[raaz] kya humse chhipayya hai, aap chup kyun hai?

Sunday, June 7, 2009

gulaab ki shayyiri

jindgi hai ki harik haal mein kat jaati hai
aapne dil se bhulaya hai,toh koi baat nahi
aap ko yaad hamari bhi toh aati hogi
naam muh par nahi aaya hai, koi baat nahi
humko khusbhoo toh unn ankho ki mili hai hardum
pyar agar mil nahi paaya hai, koi baat nahi
unnke na-khoon [नाखून] kaatne ki hai charcha ghar ghar
humne sar bhi jo kataya hai, koi baat nahi
phir bahare aayengi phir baag mein phoolenge "Gulab"
ji toh aise hi bhar aaya hai, koi baat nahi

Friday, June 5, 2009

gulaab ki shayyiri

dard-ye-dil thaam ke sehte hai, ham toh chup hii hai ?
log kaya kaya nahiin kehte hai, hum toh chup hii hai ?
aap kyun dil ke tadpne ka bura maan gaye !
aap se kuchh nahiin kahte hain, ham to chup hii hai ?
ham khatavar nahiin hai, dil ke behak jaane ka !
ye kagaar aap hii dhate hain, hum toh chup hii hai ?

gulaab ki shayyiri

dil to hamane hii lagaayaa hai, aap chup kyoon hain ?
daanv ye hamane ganvaayaa hai, aap chup kyoon hain ?
log kayaa kayaa nahiin kahte hai hamen duniiyaa men !
aap kaa naam bhii aayaa hai, aap chup kyoon hain ?
yah to kahiye kii nazar kyoon hai khoee khoee huee !
bhed kayaa hamase chhipaayaa hai, aap chup kyoon hain ?

Saturday, January 17, 2009

gulaab ki shayyiri

बेरुखी तो मेरे सरताज नहीं होती है
पर वो पहले सी नज़र आज नही होती है
रूप मुहताज है बन्दों की नज़र का, लेकिन
बंदगी रूप की मुहताज नहीं होती है
सर पर कांटे भी शोंक से रखते है "गुलाब"
तख्तपोशी तो बिना ताज नही होती है

gulaab ki shayyiri

berukhi toh mere sartaaj nahi hoti hai
par vo pehle si nazar aaj nahi hoti hai
roop muhtaaj hai bandon ki nazar ka,lekin
bandgi roop ki muhtaaj nahi hoti hai
sar pe kaante bhi shonk se rakhte hai "gulaab"
takhtposhi toh bina taaz nahi hoti hai

Monday, November 24, 2008

gulaab ki shayyiri

दिल तो हमने ही लगाया है, आप चुप क्यूँ हैं ?
दांव ये हमने गंवाया है, आप चुप क्यूँ हैं ?
लोग कया कया नहीं कह्ते है हमें दुनीया में !
आप का नाम भी आया है, आप चुप क्यूँ हैं ?
यह तो कहिये की नज़र क्यूँ है खोई खोई हुई !
भेद कया हमसे छिपाया है, आप चुप क्यूँ हैं ?
*
dil toh humne lagaya hai, aap chup kyun hai?
daav ye humne ganwaya hai, aap chup kyun hai?
log kya kya nahi kehte hai humne duniya mein !
aap ka naam bhi aaya hai, aap chup kyun hai?
yeh toh kahiye ki nazar kyun hai khoi khoi hui
bhayd[raaz] kya humse chhipayya hai, aap chup kyun hai?

wel come