Showing posts with label munir niazi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label munir niazi ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

kisi ko apne alm ka hisab kya dete

kisi ko apne alm[dukh] ka hisab kya dete
sawaal saare galat thy, jawaab kya dete

Wednesday, July 29, 2009

gham ka vo zor ab mere andar nahin raha

gham ka vo zor ab mere andar nahin raha
iss umr mein main itna samarvar nahin raha
iss ghar mein jo kashish thi gayi unn dinon ke saath
iss ghar ka saaya ab mere sar par nahin raha
vo husn-e-naubahaar abad shauq jism sun
rehna tha ussko saath mere par nahin raha
mujh mein hi kuch kami thi ki behatar main unnse tha
main shahr mein kisi ke barabar nahin raha
rahbar ko unnke haal ki ho kis tarah khabar
logon ke daramiyan vo aa kar nahin raha
vapas na ja vahan ki tere shahr mein 'munir'
jo jis jagah pe tha vo vahan par nahin raha

bechaiin bahut phirna ghabaraaye huye rehna

bechaiin bahut phirna ghabaraaye huye rehna
ik aag si jazabon ki bahakaaye huye rehna
chhalkaye huye chalna khushbu-e-begani ki
ik baag sa tha apna mehakaaye huye rehna
iss husn ka sheva hai, jab ishq nazar aaye
parde mein chale jaana, sharmaaye huye rehna
ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishame se
ik chaand sa aankhon mein chamakaaye huye rehna
aadat hi bana li hai tumne toh 'munir' apni
jis shahr mein bhi rehna uktaaye huye rehna

chaman mein rang-e-bahaar utra toh maine dekha

chaman mein rang-e-bahaar utra toh maine dekha
nazar se dil ka gubaar utra toh maine dekha
main niim shab aazma ke hasrat ko dekhta tha
chaman mein vo husn zaar utra toh maine dekha
khumar mai thi vo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumaar utra toh maine dekha
gali ke bahar tamaam manzar badal gaye thay
jo saaya ek kuu-e-yaar utra toh maine dekha
ik aur dariya ka samna tha 'munir' mujhko
main ek dariya ke paar utara toh maine dekha

darr ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp khazane mein

darr ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp khazane mein
zar ke zor se zinda hain sab khaak ke iss viirane mein
jaise rasm ada karte hon shahron ki aabadi mein
subah ko ghar se duur nikal kar sham ko vapis aane mein
niile rang mein duubi aankhen khuli padi thiin sabze par
aks pada tha aasman ka shayad iss paimane mein
dil kuch aur bhi sard hua hai shaam-e-shahr ki raunaq mein
kitni ziya be-suud gayi hai sheeshe ke lafz jalane mein
main toh 'munir' aaiine mein Khud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuch aur tarah tha pehle kisi zamane mein

ufq ko ufq se mila dene wale

ufq ko ufq se mila dene wale
ye raaste hain kitne thaqa dene wale
ye din hain naaye apne khasiiton mein
kai naam dil se bhula dene wale
bita dena umaren usse khojne mein
jo mil jaaye usse ganwa dene wale
phir apne kiye par pashemaan rehna
ye hum hain khud ko saza dene wale
munir iss zamaane mein rehbar bohat hein
haqiqat ko uljhan bana dene wale !!

baith jaata hai woh jab mehfil mein aa ke saamne

baith jaata hai woh jab mehfil mein aa ke saamne
main hi bas hota hun usski iss ada ke saamne
tez thi itni ke sara shehr suna kar gayi
der tak baitha raha main iss hawa ke samne
raat ek ujde makaan pe ja ke jab awaaz di
goonj uthe baam-o-dar meri sada ke saamne
woh rangeela haath mere dil pe aur usski mehak
shama dil bujh si gayi rang-e-hina ke saamne
main toh ussko dekhte hi jaise pathar ho gaya
baat tak munh se na nilti bewaffa ke saamne
yaad bhi hain usse 'munir' iss shaam ki tanhaiyan
ek maidan, ek darakht aur tu khuda ke saamne

dil ko haal-e-qaraar mein dekha

dil ko haal-e-qaraar mein dekha
yeh karishma bahaar mein dekha
jis ko chaha khumar mein chaha
jis ko dekha khumar mein dekha
khwahishon ko bohat hawa dena
wasaf yeh hum ne yaar mein dekha
ek bashar mein kai bashar dekhe
juzw e kul ke hisar mein dekha
jab se dekha hai iss zamiin ko 'munir'
qaid-e-lail-o-nahaar mein dekha

Friday, June 12, 2009

munir niazi ki shayyiri

hain abaad lakhon jahan mere dil mein
kabhi aao daaman-kushan mere dil mein
utarti hai dheere se raaton ki chup mein
tere roop ki kehkashan mere dil mein
ubharti hai raahon se kirno ki lehren
sisakti hai parchhaiyan mere dil mein
zamane ke lab par zamane ki baaten
meri dukhbhari daastan mere dil mein
koi kya rahega jahan-e-fana mein
raho toh raho jaavidaan mere dil mein...

munir niazi ki shayyiri

zinda rahen toh kya hai jo marr jaayen hum toh kya
duniya se khamoshi se guzar jaayen hum toh kya
hasti hi apbi kya hai zamane ke samane
ek khwab hai jahan main bikhar jaayen hum toh kya
ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gayi hai laut ke ghar jayen hum toh kya
dil ki khalish toh saath rahegi tamam umar
dariya-e-gham ke paar uttar jayen hum toh kya

wel come