Showing posts with label ahmed nadeem qasmi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ahmed nadeem qasmi ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga
main toh dariya hun, samandar mein utar jaunga
tera dar chod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghar jaunga, shehra mein bikhar jaunga
tere pehlo se jo uthunga, toh yeh mushkil hai
sirf ek shaks ko paunga, jidhar jaunga
ab tere shehr mein aaunga musafir ki tarah
saaya-e-abar ki manind guzar jaung
tera paimaan-e-waffa raah ki diwar bana
varna socha tha ke jab chahonga, marr jaunga
zindgi shamma ki manind jalaata hun 'nadeem'
bujh toh jaunga magar subah toh kar jaunga

tai karunga yeh andhera main akela kaise

tai karunga yeh andhera main akela kaise
mera humraah chalega mera saaya kaise
chaandani uss se lipat jaaye, hawayein cheedein
koi reh sakta hai duniya mein achoota kaise
main toh uss waqt se darta hun ke woh pooch na le
yeh agar zabt ka aansu hai toh tapka kaise
iss liye khuda sirf se hai takhatib mera
mere jazbaat ko samjhega farishta kaise
jo mere dast-e-mushaqat ke hain mohtaaj, 'nadeem'
cheen lete hain mere munh ka niwala kaise


Tuesday, July 7, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

ziist aazaar hui jaati hai
saans talvaar hui jaati hai
jism bekaar hua jaata hai
ruuh bedaar huii jaati hai
kaan se dil mein utarti nahin baat
aur guftaar hui jaati hai
dhal ke nikli hai haqiiqat jab se
kuch pur_asraar hui jaati hai
ab toh har zakhm ki munh_band kali
lab-e-izhaar hui jaati hai
phuul hi phuul hain har simt 'nadeem'
rah dushvaar hui jaati hai

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

vo koi aur na tha chand khushk patte thay
shajar se tuut ke jo fasl-e-gul pe roye thay
abhi abhi tumhen socha toh kuch na yaad aaya
abhi abhi toh ham ek-dusre se bichhade thay
tumhare baad chaman par jab ik nazar daalii
kali kali mein khizan ke chirag jalte thay
tamaam umar waffa ke gunahgar rahe
ye aur baat ki ham aadmi toh achchhe thay
shab-e-khamosh ko tanhaai ne zaban de di
pahad gunjate thay dasht sansanate thay
vo ek baar mare jinko tha hayat se pyar
jo zindgi se gurezan thay roz marte thay
naye khayal ab aate hain dhal ke zahan mein
hamare dil mein kabhi khet lahlahate thay
ye iratiqa[progressive] ka chalan hai ki har zamane mein
purane log naaye aadami se darte thay
'nadeem' jo bhi mulaqaat thi adhuuri thi
ki ek chehre ke piichhe hazaar chehre thay

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

zehanon mein khayal jal rahe hain
sochon ke alaav-se lage hain
duniya ki girift mein hain saaye
ham apna wajuud dhuundhate hain
ab bhuukh se koi kya marega
mandi mein zamiir bik rahe hain
maazi mein toh sirf dil dukhte thay
iss daur mein zehan bhi dukhe hain
sar kaat’te thay kabhi shehanshah
ab log zuban kaat’te hain
ham kaise chhudaayen shab se daaman
din nikla toh saaye chal pade hain
laashon ke hajuum mein bhi hans den
ab aise bhi hausle kise hain

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

shaam ko subah-e-chaman yaad aayii
kis ki khushbu-e-badan yaad aayi
jab Khayalon mein koi mod aaya
tere gesu ki shikan yaad aayi
yaad aaye tere paikar ke khatuut
apni kotahi-e-fan yaad aayi
chaand jab duur ufaq par duuba
tere lehje ki thakan yaad aayi
din shuaaon se uljhate guzra
raat aayi toh kiran yaad aayi

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

reit se buut na bana ae mere achchhe fan_kaar
ek lamhe ko thahar main tujhe patthar laa dun
main tere saamne ambaar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aayega
surkh patthar jise dil kehati hai bedil duniya
ya vo pattharaai hui aankh ka neela patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore
kya tujhe ruuh ke patthar ki zaruurat hogi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ik vo patthar hai jise kehte hain tahzeeb-e-safed
usske mar_mar mein siyah khuun jhalak jaata hai
ik insaaf ka patthar bhi toh hota hai magar
haath mein tesha-e-zar ho toh vo haath aata hai
jitne mayaar hain iss daur ke sab patthar hain
sher bhi raqs bhi tasviir-o-gina bhi patthar
mere ilhaam tera zahan-e-rasa bhi patthar
iss zamane mein har fan ka nishan patthar hai
haath patthar hain tere meri zuban patthar hai
reit se buut na bana ae mere achchhe fan_kaar

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

mujhe kal mera ek saathi mila
jis ne ye raaz khola
ke 'ab jazba-o-shauq ki vehshaton ke zamane gaye'
phir vo aahista-aahista chaaron taraf dekhta
mujhse kehne laga
'ab bisaat-e-muhbbat lapeto
jahan se bhi mil jaayen daulat - sameto
garz kuch toh tahzeeb siikho'

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

marun toh main kisi chehre mein rang bhar jaaun
'nadeem' kaash yahi ek kaam kar jaaun
ye dasht-e-tark-e-muhbbat ye tere qarb ki pyas
jo izaan[permission] ho to teri yaad se guzar jaaun
mera wajuud meri ruuh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun toh thahar thahar jaaun
tere jamaal ka paratau[aks] hai sab hasiinon par
kahan kahan tujhe dhuundhun kidhar kidhar jaaun
main zinda tha ki tera intzaar khatam na ho
jo tu mila hai toh ab sochata hun marr jaaun
ye sochta hun ki main buut_parast kyun na hua
tujhe qariib jo paaun toh khud se darr jaaun
kisi chaman mein bas iss khauff se guzar na hua
kisi kali pe na bhuule se paanv dhar jaaun
ye jii mein aati hai takhliiq-e-fan[creation of art] ke lamhon mein
ki khuun ban ke rag-e-sang mein utar jaaun

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

labon pe narm tabassum racha ke dhul jaayen
khuda kare mere aansuu kisi ke kaam aayen
jo ibtada-e-safar mein diye bujha baithe
vo bad_nasiib kisi ka suraag kya paayen
talash-e-husn kahan le chali khuda jaane
umang thi ki faqat zindgi ko apanayen
bula rahe hain ufaq par jo zard-ruu tiile
kaho toh ham bhi fasane ke raaz ho jaayen
na kar khuda ke liye baar-baar zikr-e-behisht
ham aasman ka mukarrar fareb kyon khaayen
tamaam maikada sun_saan maigusaar udas
labon ko khol kar kuch sochti hain miinaayen

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

lab-e khaamosh se afsha hoga
raaz har rang mein ruswa hoga
dil ke sahra mein chali sard hawa
abr gul_zaar pe barsa hoga
tum nahin thay toh sar-e-baam-e-khayal
yaad ka koi sitara hoga
kis tawaqqo pe kisi ko dekhen
koi tumse bhi hasin kya hoga
zeenat-e-halqa-e-aagosh bano
duur baithoge toh charcha hoga
zulmat-e-shab mein bhi sharmate ho
dard chamakega toh phir kya hoga
jis bhi fankaar ka shahkar ho tum
uss ne sadiyon tumhen socha hoga
kis qadar qarb se chatki hai kali
shaakh se gul koi tuuta hoga
umr bhar roye faqat iss dhun mein
raat beeti toh ujala hoga
saari duniya hamen pehachanti hai
koi ham-sa bhi na tanha hoga

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga
main toh dariya hun samandar mein utar jaunga
tera dar chhod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sehara mein bikhar jaunga
tere pehlu se jo uthunga th mushkil ye hai
sirf ik shaks ko paunga jidhar jaunga
ab tere shahr mein aaunga musafir ki tarah
saaya-e-abr ki maniind guzar jaunga
tera paiman-e-waffa raah ki diwar bana
varna socha tha ke jab chahunga mar jaunga
charasazon se alag hai mera mayaar ke main
zakhm khaunga toh kuch aur sanwar jaunga
ab toh khurshid ko duube huye sadiyan guzarin
ab usse dhuundhne mein taa-ba-sahar jaunga
zindgi shamma ki maniind jalata hun 'nadeem'
bujh toh jaunga magar subah toh kar jaunga

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

jab tera hukm mila tarq muhbbat kar di
dil magar iss pe vo dhadhaka ki qaymat kar di
tujhse kis tarah main izhaar-e-tamnna karta
lafz sujha toh maanii ne bagavat kar di
main toh samjha tha ki laut aate hain jaane wale
tune jakar toh judaai meri qismat kar di
mujhko dushman ke iraadon pe bhi pyar aata hai
teri ulfat ne muhbbat meri aadat kar di
puuch baitha hun main tujhse tere kuuche ka pata
teri haalat ne kaisi teri surat kar di

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

gul tera rang chura laaye hain gul_zaaron mein
jal raha hun bhari barsaat ki bauchhaaron mein
mujhse katra ke nikal ja magar ae jaan-e-haya
dil ki lau dekh raha hun tere rukhasaron mein
husn-e-begana-e-ehsaas-e-jamaal achchha hai
gunche khilte hain toh bik jaate hain bazaaron mein
zikr karte hain tera mujhse baa_unvaan-e-jaffa
charagar phuul piro laaye hain talvaaron mein
zakhm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugaundh
gham ki daulat bhi hai shaamil mere shahakaron mein
mujhko nafarat se nahin pyar se masluub[crucified/suspended] karo
main toh shamil hun mohbbat ke gunahgaron mein

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

ab tak toh nuur-o-nikhat-o-rang-o-sada kahun
main tujhko chhu sakun toh khuda jaane kya kahun
lafzon se unnko pyar hai mafhuum se mujhe
vo gul kahen jise mein tera naqsh-e-paa kahun
ab justaju hai teri jaffa ke javaaz ki
jii chahta hai tujhko waffa aashna kahun
sirf isske liye ke ishq issi kaa zahuur hai
main tere husn ko bhi sabuut-e-waffa kahun
tu chal diya toh kitne haqaa_iq badal gaye
nazm-e-sahar ko marqad-e-shab ka diya karun
kya jabr hai ke buut ko bhi kahna pade khuda
vo hai khuda toh mere khuda tujhko kya kahun
jab mere munh mein meri zuban hai toh kyun na main
jo kuch kahun yaqiin se kahun barmala kahun

kya jaane kis safar pe ravan hun azal se main
har inteha ko ek nayi ibtida kahun
ho kyun na mujhko apne mazaaq-e-sukhan pe naaz
gaalib ko kaa_inaat-e-sukhan ka khuda kahun

Monday, June 22, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

ye itriqaa[progres] ka chalan hai ki har zamane mein
purane log naye aadmi se darte thay

Saturday, June 20, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

marun toh kisi chehre mein rang bhar jaaun
'nadeem' kaash yahi ek kaam kar jaaun
yeh dasht-e-mohbbat ye qarb ki piyas
jo azaan ho toh teri yaad se guzar jaaun
mera wajood meri ruuh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun toh thehr jaaun
main zinda tha ke tera intzaar khatm na ho
jo tu mila hai toh sochta houn ke marr jaaun
kisi chaman mein bas iss khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paaun dhar jaaun

Sunday, June 14, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

woh koi aur na tha chand khushk patte thay
shjar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye thay
abhi abhi tumhen socha toh kuch na yaad aaya
abhi abhi toh hum ek-dusre se bichde thay
tumhare baad chaman par jab ik nazar dali
kali kali mein khizan ke chiragh jalte thay
tamaam umar waffa ke gunah_gaar rahe
ye aur baat ki hum adami toh achche thay
shab-e-khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahad gujte thay dasht san_sanate thay
vo ek baar mare jinko tha hayat se pyar
jo zindgi se gurezan thay roz marte thay
naye khayal ab aate hain dhal ke zahan mein
hamare dil mein kabhi khet lah_lahaate thay
ye irtiqa ka chalan hai kai har zamane mein
purane log naye adami se darte thay
'nadeem' jo bhi mulaqat thi adhoori thi
ki ek chehre ke pechhe hazar chehre thay

Saturday, June 13, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

kaun kehta hai ke maut aayi toh marr jaunga
main toh dariya hoon samandar mein utar jaonga
tere pehlo se jo uthunga tuoh mushkil yeh hai
sirf ek shaks ko paaunga jidhar jaaunga
ab tere shehr mein aaunga musafir ki tarah
saaya-e -br ki maanind guzar jaaunga
tera paimaan-e-waffa raah ki diwar bana
varna socha tha jab chahunga marr jaaunga
charasazon se alag hai mera miyar ke main
zakham khaaunga toh kuch aur sanwar jaaunga
ab toh khursheed ko doobe huye sadiyan guzri
ab usse dhoondhne mein taa baa sehar jaaunga
zindagi shamma ki maanind jalata hoon 'nadeem'
bujh toh jaaunga magar subha toh kar jaonga

Friday, June 5, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

mujhse kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya
dil tujhe de ke dhadka toh Khuda yaad aaya
charagar aaj sitaron ki qasam Kha ke bata
kisne insaan ko tabassum ke liye tarsaya
nazr karta raha main phuul ke jazbat usse
jisne patthar ke khilonon se mujhko bahlaya
usske andar koi fankar chhupa baitha hai
jante-bujhte jis shaks ne dhoka khaya

wel come