Tuesday, July 7, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga
main toh dariya hun samandar mein utar jaunga
tera dar chhod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sehara mein bikhar jaunga
tere pehlu se jo uthunga th mushkil ye hai
sirf ik shaks ko paunga jidhar jaunga
ab tere shahr mein aaunga musafir ki tarah
saaya-e-abr ki maniind guzar jaunga
tera paiman-e-waffa raah ki diwar bana
varna socha tha ke jab chahunga mar jaunga
charasazon se alag hai mera mayaar ke main
zakhm khaunga toh kuch aur sanwar jaunga
ab toh khurshid ko duube huye sadiyan guzarin
ab usse dhuundhne mein taa-ba-sahar jaunga
zindgi shamma ki maniind jalata hun 'nadeem'
bujh toh jaunga magar subah toh kar jaunga

No comments:

Post a Comment

wel come