Showing posts with label chakbist ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label chakbist ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

armaan bhare dil

armaan bhare dil khaaq huye aur maut ke taalib jeete hain
andher pe iss duniya ke hamen, aati hai hansi aur riqqat[rona] bhi

imaan

mujhe dairo-haram se vasta kya, rindamsharb hun
vahi imaan hai jo kuch kahe piiremugaan mera

Tuesday, August 11, 2009

khud parasti

khud parasti mit gayi qadre-muhbbat badh gayi
maatme-ahbaab hai taleem-e-ruhani mujhe

Saturday, May 2, 2009

chakbist ki shayyiri

insaan ke bugzo[hate]-zehal se duniya tabah hai
tufaan uth raha hai, ye musht-e-gubaar kya

Thursday, April 30, 2009

chakbist ki shayyiri

kahan ihaata[chardiwari]-e-hasti se bhaag kar jaaon
nayi zamiin, naya aasman nahin milta

Tuesday, April 28, 2009

chakbist ki shayyiri

zindgi kya hai, anasir mein zahuure-tarteeb
maut kya hai, inhin az'zaa ka pareshan hona

wel come