Showing posts with label bekhud dehlvi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label bekhud dehlvi ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

ruuh zahid ki

maikade mein ruuh zahid ki kahin aati na ho
kal toh ek saagar tha gayab aaj ek bottal gayi

rasha badan mein

rasha badan mein, surkh hain aankhein,jabiin pe bal
aaye kahan se aag-babuula bane huye


Monday, July 13, 2009

bekhud dehlvi ki shayyiri

ye dil kabhi na muhabbat mein kamyab hua
mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua
ajal[death] mein, ziist[life] mein turabat[grave] mein, hashr mein zaalim
tere sitam ke liye main hi intakhaab[selected] hua
nigah-e-mast ko saaqi ki kaun de ilzaam
mera nasiib ki ruswa mera shabab hua
hamare ishq ki das-biis ne bhi daad na di
kisi ka husn zamane mein intakhaab hua
fana ka daava hazaaron ko tha zamane mein
habaab[bubble] ne mujhe dekha to aab-aab[water] hua

bekhud dehlvi ki shayyiri

shamma-e-mazar thi na koi sogvaar tha
tum jis pe ro rahe thay vo kiska mazaar tha
tadapunga umr bhar dil-e-marahuum ke liye
kambakht namuraad ladakpan ka yaar tha
jaadu hai ya tilism tumhari zuban mein
tum jhuuth keh rahe thay mujhe aitbaar tha
kya kya hamare sajde ki ruswaaiyan huiin
naqshe-qadam kisi ka sare rahguzar tha

bekhud dehlvi ki shayyiri

na keh saaqi bahaar aane ke din hain
jigar ke daag chhil jaane ke din hain
ada si khuub ada aane ke din hain
abhi toh duur sharmane ke din hain
garebaan dhuundhate hain haath mere
chaman mein phuul khil jaane ke din hain
tumhen raaz-e-muhabbat kya bataayen
tumhare khelne khane ke din hain
ghataayen uudi uudi keh rahi hai
mai-e-anguur khinchavane ke din hain

bekhud dehlvi ki shayyiri

mai pila kar aap ka kya jaayega
jaayega iimaan jis ka jaayega
dekh kar mujhko vo sharma jaayega
ye tamasha kis se dekha jaayega
jaaun buutkhane se kyun kaabe ko main
haath se ye bhi thikana jaayega
qatl ki jab ussne di dhamki mujhe
kah diya maine bhi dekha jaayega
pii bhi le do ghunt zaahid pii bhi le
maikade se kaun pyasa jaayega

bekhud dehlvi ki shayyiri

dard-e-dil mein kami na ho jaaye
dosti dushmani na ho jaaye
tum meri dosti ka dam na bharo
aasmaan muddai na ho jaaye
baithata hun hamesha rindon mein
kahin zaahid vali na ho jaaye
apne khuu-e-waffa se darta hun
aashiqi bandagi na ho jaaye

Sunday, June 28, 2009

bekhud dehlvi ki shayyiri

inn hasino ko nayi chaale shikhata hai falak
dono dushman hai mere, shaagird bhi, ustaad bhi

Sunday, May 10, 2009

bekhud dehlvi ki shayyiri

inn hasino ko nayi chaale shikhata hai falak
dono dushman hai mere, shaagird bhi, ustaad bhi

bekhud dehlvi ki shayyiri

dard-e-dil mein kami na ho jaaye
dosti dushmani na ho jaaye
tum meri dosti ka dam na bharo
aasmaan mudaai na ho jaaye
baithata hun hamesha rindo mein
kahin zaahid vali na ho jaaye
apne khuu-e-vaffa se dartaa hun
ashqui bandgi na ho jaaye

Thursday, April 30, 2009

bekhud dehlvi ki shayyiri

vaade ka zikar, wasl ka imaa[sign], waffa ka kaul
ye sab fareb hain, dile-shaida ke vaaste

Sunday, January 4, 2009

bekhud dehlvi ki shayyiri

uththe teri mehfil se toh kis kaam ke uththe
dil thaam ke baithe thay, jigar thaam ke uththe
dam bhar mere pehlu mein unhien chain kahaan hai
baithe, ke bahaane se kisi kaam se uththe
afsos se aghyaar ne kya kya na malay haath
vo bazm se jab haath mera thaam ke uththe
duniya mein kisi ne bhi ye dekhi na nazakat
unn se na kabhi harf mera naam ke uththe
jo zulm-o-sitam tumne kiye sab vo uthaay
ek ranj-o-alam humse na ilzaam ke uththe
sadme toh bahut qaid mein jhele mere dil ne
jhonke na magar zulf-e-siyaah faam ke uththe
hai rashq ke ye bhi kahin shaida na ho uss ke
turbat se bahut log mere naam ke uththe
afsaana-e-husn uss ka hai har ek zubaan par
parde na kabhi jis ke dar-e-baam se uththe
aagaz-e-muhabat mein majaye dil ne uththe
puuche toh koi ranj bhi ilzam ke uththe
dil nazar mein de aaye uss shokh ko 'Bekhud'
bazaar mein jab daam na uss jaam ke uththe

wel come