Showing posts with label syed irshad qamar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label syed irshad qamar ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 12, 2009

syed irshad qamar ki shayyiri

chalo kuch door yaad-e-raftigaan mein saath chalte hain
muhabat ke issi dard-e-nihan mein saath chalte hain
chalo ik baar chalte hain uss viraan basti mein
ussi kucha-e-tanha be_kasan mein saath chalte hain
lipat kar yaad kar lete hain ham bichdi waffaon ko
chalo uss mehfil-e-aah-o-figan mein saath chalte hain
kissi ujde huye hujre ki dahlizon pe rukte hain
kissi bikhre nagar be khanmaan mein saath chalte hain
jahan pe alvida kehte huye bichde thay ham dono
qamar aao ussi ujde makan mein saath chalte hain

syed irshad qamar ki shayyiri

suno woh hadisa kya tha
sakun chiina tha kis ne
kis ne palkon pe sitare
aur
honton ko faghan di thi
waffa ke naam par kis ne
jaffa bhar di thi daman mein
tumhari shokh aankhon mein
sitare kis ne sinche thay
batao kis ki khatir
saadh li khamoshiyan tumne
sitamgar kaun tha
odha gaya jo sog ka mausam
adayein laut kar jo de gaya
yeh rog ka mausam
suno
kuch toh kaho
woh kaun tha

syed irshad qamar ki shayyiri

woh be karariyan meri woh souz e jaan kidhar gaya
kahan gaye woh hamsafar, woh karwan kidhar gaya
woh raaston mein jhoomte shajar ayaam-e-ishq ke
yeh poochte hain ab bata tera jahan kidhar gaya
mein bachpane ki shakh se gira hun uss mukaam pe
jahan zamiin puchti hai aasman kidhar gaya
qafas ke dar khule toh kaali aandiyon ka raaj tha
dar-o-deewar kya huye woh aashiyan kidhar gaya
woh ibtada ki talkhiyan hai maut samne magar
qamar batao zindagi ka darmiyan kidhar gaya

syed irshad qamar ki shayyiri

nigahon ke talatum mein samandar duub jaate hain
barasti hain yeh aankhein toh manzar duub jaate hain
machalti lehar ne yeh raaz bhi samjha diya mujhko
bahot se log sahil pe bhi aa kar aksar duub jaate hain
kabhi aisa bhi hota hai ke ik diwaar dhaane se
sahara tuut jata hai kai ghar duub jaate hain
muhbbat haar bhi jaaye zamane ki nigahon mein
to ashkon mein adawat ke paimbar duub jaate hain
qamar rah-e-mulamat pe raho sabat qadam aakhir
innhi rahon mein tohmat ke shanawar duub jaate hain


wel come