ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftgu karte
payaam bar na mayassar hua toh khuub hua
zabaan-e-gaiir se kya shar[mischief] ki aarzu karte
meri tarah se maah-o-mahar bhi hain awara
kisi habiib ko ye bhi hain justju karte
jo dekhte teri zanjiir-e-zulf ka aalam
asiir hone ke aazad aarzu karte
na puuch aalam-e-bargashta[turn around/against] taali-e-‘aatish’[burning fate]
barsati aag mein jo baaraan rain] ki aarzu karte
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label haider ali aatish ki shayyiri. Show all posts

Monday, July 6, 2009
haider ali aatish ki shayyiri
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
raat bhar taali'-e-bedaar[good fortune] ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
pehlu-e-gul mein kabhi khaar ne sone na diya
raat bhar ki dil-e-betaab ne baaten mujhse
mujhko iss ishq ke biimaar ne sone na diya

sun toh sahi jahan mein hai tera fasana kya
kehti hai tujhse khalq-e-khuda gaibana kya
ziina saba ka dhundhati hai apni musht-e-khaak
baam-e-baland yaar ka hai aastana kya
aati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun toh maut dhundh rahi hai bahana kya
betaab hai kamal hamara dil-e-azeem
mehman saaraye-e-jism ka hoga ravaana kya

tadapte hain na rote hain na ham fariyad karate hain
sanam ki yaad mein hardam khuda ko yaad karate hain
unhiin ke ishq mein ham naalaa-o-fariyad karte hain
ilaahiidekhiye kis din hamen vo yaad karte hain
shab-e-furqat mein kya kya saanp lehrate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechan ko jab ham yaad karate hain

Monday, June 15, 2009
haider ali aatish ki shayyiri
ye aarzuu thi tujhe gul ke ru-b-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftgu karte
payam bar na mayassar hua toh khuub hua
zabaan-e-gaiir se kya shar[mischief] ki aarzu karte
meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara
kisi habeeb ko ye bhi hain justju karte
jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
aseer[prisoner] hone ke aazaad aarzu karte
na puchh aalam-e-baragashta[against] taali-e-'aatish'[burning fate]
barsatii aag mein jo baaran[rain] ki aarzu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftgu karte
payam bar na mayassar hua toh khuub hua
zabaan-e-gaiir se kya shar[mischief] ki aarzu karte
meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara
kisi habeeb ko ye bhi hain justju karte
jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
aseer[prisoner] hone ke aazaad aarzu karte
na puchh aalam-e-baragashta[against] taali-e-'aatish'[burning fate]
barsatii aag mein jo baaran[rain] ki aarzu karte
haider ali aatish ki shayyiri
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
raat bhar taali'-e-bedaar[good fortune] ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
pehlu-e-gul mein kabhi khaar ne sone na diya
raat bhar ki dil-e-betaab ne baaten mujhse
mujhko iss ishq ke bimaar ne sone na diya
raat bhar taali'-e-bedaar[good fortune] ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
pehlu-e-gul mein kabhi khaar ne sone na diya
raat bhar ki dil-e-betaab ne baaten mujhse
mujhko iss ishq ke bimaar ne sone na diya
haider ali aatish ki shayyiri
sun toh sahi jahan mein hai tera fasana kya
kahti hai tujhse khalq-e-khuda gaibana kya
zeena saba ka dhuundhti hai apni musht-e-khaak
baam-e-baland yaar ka hai aastana kya
aati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun toh maut dhuundh rahi hai bahana kya
betaab hai kamal hamara dil-e-azeem
mehman saray-e-jism ka hoga ravana kya

tadpate hain na rote hain na ham fariyad karte hain
sanam ki yaad mein hardam khuda ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein ham naala-o-fariyad karte hain
ilaahi dekhiye kis din hamen vo yaad karate hain
shab-e-furqat mein kya kya saanp leharaate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain

Thursday, June 4, 2009
haider ali aatish ki shayyiri
ae sanam jis ne tujhe chaand ki surat di hai
ussi allah ne mujhko bhi muhbbat di hai
tegh be-aab hai na baazuu-e-qaatil kamzor
kuch giraan jaani hai, kuch maut ne fursat di hai
furqat-e-yaar mein roa-roa ke basar karta hun
zindgani mujhe kya dil hai, museebat di hai
josh paida kiye sun'ne ko tera zikr-e-jamaal
dekhne ko teri aankhon mein basaarat di hai
kamar-e-yaar ke mazmuun ko baandho 'aatish'
zulf-e-khuuban sii meri tumko tabiyat di hai

Friday, April 17, 2009
haider ali aatish ki shayyiri
tadapte hain na rote hain na hum fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein har-dum khuda ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein hum naala[loud wailing]-o-fariyaad karte hain
ilaahi dekhiye kis din hamen vo yaad karte hain
shab-e-furqat mein kya kya saanp lehrate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechaan[curly hair] ko jab hum yaad karte hain

Subscribe to:
Posts (Atom)