Showing posts with label ameer ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ameer ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

hans ke farmaate hain vo dekh kar haalat meri

hans ke farmaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasaan samajhte thay muhbbat meri
baad marne ke bhi chhodi na rafaqat meri
meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri
maine aagosh-e-tasavvur mein bhi khencha toh kaha
pis gayi pis gayi bedard nazakat meri
aaiina subah-e-shab-e-wasl jo dekha toh kaha
dekh zaalim ye thi sham ko surat meri
yaar pahalu mein hai tanhaai hai keh do nikle
aaj kyon dil mein chhupi baithi hai hasrat meri
husn aur ishq ham_aagosh nazar aa jaate
teri tasviir mein khinch jaati jo hairat meri
kis dhitaai se vo dil chhiin ke kehte hain 'ameer'
vo mera ghar hai rahe jis mein muhabbat meri

banda nawaaziyon pe khuda-e-kariim tha

banda nawaaziyon pe khuda-e-kariim tha
karta na main gunah toh gunah-e-aziim tha
baaten bhi ki khuda ne dikhaya jamaal bhi
vallaah kya nasiib janaab-e-kaliim tha
duniya ka haal ahal-e-adam hai ye mukhtsar
ik do qadam ka kuucha-e-ummid-o-biim tha
karta main dardmand tabiibon se kya rajuu
jis ne diya tha dard badaa vo hakiim tha
samaan-e-ufv kya main kahun mukhtsar hai ye
banda gunahgaar tha khaaliq kariim tha
jis din se main chaman mein hua khwah-e-gul 'ameer'
naam-e-saba kahin na nishan-e-nasiim tha

sarakti jaaye hai rukh se naqab aahista-aahista

sarakti jaaye hai rukh se naqab aahista-aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista-aahistaa
jawaan hone lage jab wo toh hamse kar liya pardaa
haya yak_lakht aayi aur shabab aahista-aahista
shab-e-furkat ka jaaga hun farishton ab toh sone do
kabhi fursat mein kar lena hisaab aahista-aahista
sawal-e-wasl par unnko uduu ka khauff hai itna
dabe honton se dete hain jawab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar toh jaldi jaldi hai udhar aahista aahistaa
vo bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahun unnse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

Saturday, July 4, 2009

suraj ki har kiran teri surat pe vaar du

suraj ki har kiran teri surat pe vaar du
dozakh ko chahta hu ke zannat pe vaar du
itani si hai tasalli koi hoga muqabla
dil kya hai jaan bhi apni qayamat pe vaar du
ik khwab tha jo dekh liya neend mein kabhi
ik neend hai jo teri muhabbat pe vaar du
’ameer’ hasiin neend milegi kaha mujhe
phir kyun na zindagani ko turbat pe vaar du

Sunday, June 7, 2009

ameer ki shayyiri

aaj ki raat bhi guzari hai meri, kal ki tarah
haath aaye na sitaare tere, aanchal ki tarah
raat jalati hui ik aisi chitaahai jis par
teri yaadein hain sulagate huye, sandal ki tarah
too ik dariya hai magar meri tarah payasa hai
main tere paas chala aaonga, baadal ki tarah
main hoon ik khavab magar jaagati aankhon ka 'aamir'
aaj bhi log ganva den na mujhe, kal ki tarah
haath aaye na sitaare tere, aanchal ki tarah
aaj ki raat bhi guzari hai meri, kal ki tarah ......

Saturday, June 6, 2009

ameer ki shayyiri

ishq mein jaan se guzarte hain guzarne waale
maut ki raah nahin dekhte marne wale
aakhri waqt bhi poora na kiya vaada-e-vasl
aap aate hi rahe marr gaye marne waale
uthe aur kuucha-e-mehboob mein pohnche aashiq
ye musaafir nahin raaste mein theharne waale
jaan dene ka kaha maine toh hass kar bole
tum salaamat raho har roz ke maarne waale
aasman pe jo sitaare nazar aaye ae 'ameer'
yaad aaye mujhe vo daag ubharne waale

Monday, November 24, 2008

ameer ki shayyiri

आज की रात भी गुज़री है मेरी, कल की तरह
हाथ आए न सितारे तेरे, आँचल की तरह
रात जलती हुई इक ऐसी चिता है जिस पर
तेरी यादें हैं सुलगते हुए, संदल की तरह
तू इक दरिया है मगर मेरी तरह पयसा है
मैं तेरे पास चला आऊँगा, बादल की तरह
मैं हूँ इक खवाब मगर जागती आंखों का 'आमिर'
आज भी लोग गँवा दें न मुझे, कल की तरह
हाथ आए न सितारे........

wel come