zinda hun iss tarah ki gham-e-zindagi nahin
jalta hua diya hun magar roshni nahin
vo muddaten huiin hain kisi se juda huye
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
aane ko aa chuka tha kinara bhi samne
khud usske paas meri hi nayya gayi nahin
honton ke paas aaye hansi , kya majal hai
dil ka muamla hai koi dillagi nahin
ye chand ye hawa ye fiza, sab hai maand maand
jo tu nahin toh inn mein koi dilkashi nahin
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label behzad lucknawi ki shayyiri. Show all posts

Monday, July 13, 2009
behzad lucknawi ki shayyiri
unn aankhon ka aalam gulabi gulabi
mere dil ka aalam sharabi sharabi
nigahon ne dekhi muhabbat ne maani
teri bemisaali teri laajavaabi
ye dud-diida nazaren ye raftar-e-nazuk
inhiin ki badaulat hui hai kharabi
khuda ke liye apni nazaron ko roko
tamnna bani jaa rahi hai javabi
hai ‘behzad’ unnki nigah-e-karam par
meri na-muradi meri kamayabi
mere dil ka aalam sharabi sharabi
nigahon ne dekhi muhabbat ne maani
teri bemisaali teri laajavaabi
ye dud-diida nazaren ye raftar-e-nazuk
inhiin ki badaulat hui hai kharabi
khuda ke liye apni nazaron ko roko
tamnna bani jaa rahi hai javabi
hai ‘behzad’ unnki nigah-e-karam par
meri na-muradi meri kamayabi
behzad lucknawi ki shayyiri
tumhaare bulane ko jii chahta hai
muqaddar banane ko jii chahta hai
jo tum aao toh saath khushiyan bhi aayen
mera muskurane ko jii chahta hai
tumhari muhabbat mein khoi hui hun
tumhen ye sunane ko jii chahta hai
ye jii chahta hai ki tumhari bhi sun lun
khud apni sunane ko jii chahta hai

tum nagma-e-maah ho anjum ho tum soz-e-tamnna kya jaano
tum dard-e-muhabbat kya samajho tum dil ka tadapna kya jaano
sau baar agar tum ruuth gaye ham tum ko mana hi lete thay
ik baar agar ham ruuth gaye tum ham ko manana kya jaano
takhriib[destruction]-e-muhabbat asaan hai taamiir[construction]-e-muhabbat mushkil hai
tum aag lagana seekh gaye tum aag bujhana kya jaano
tum duur khade dekha hi kiye aur duubne wala duub gaya
saahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariya kya jaano

diwana banana hai toh diwana bana de
varna kahin taqdeer tamasha na bana de
ae dekhne waalon mujhe hans hans ke na dekho
tumko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de
main dhuundh rahaa hun meri vo shamma kahan hai
jo bazm ki har chiiz ko parwana bana de
aakhir koi surat bhi toh ho khana-e-dil ki
kaaba nahin banta hai toh buut_khana bana de
‘behzad’ har ek jaam pe ek sajda-e-masti
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanan na bana de

ae jazba-e-dil gar main chaahun har chiiz muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chalun aur samane manzil aa jaaye
ae dil ki khalish chal yun hi sahi, chalta toh hun unnkii mehfil mein
uss waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mehfil aa jaaye
ae rehbar-e-kaamil chalne ko tayyar toh hun par yaad rahe
uss waqt mujhe bhatka dena jab samane manzil aa jaaye
haan yaad mujhe tum kar lena awaaz mujhe tum de lena
iss raah-e-muhabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye
ab kyun dhundhu vo chashm-e-karam hone de sitam bala-e-sitam
main chahta hun ae jazbaa-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
iss jazb-e-dil ke baare mein ik mashvara tumse leta hun
uss waqt mujhe kya laazim hai jab tujhpe mera dil aa jaaye
ae barq-e-tajall kya tuune mujhko bhi muusa samjha hai
main tuur nahin jo jal jaaun jo chahe muqabil aa jaaye

ab hai khushi khushi mein na gham hai malaal mein
duniya se kho gaya hun tumhare khayal mein
mujhko na apna hosh na duniya ka hosh hai
mast hoke baitha hun tumhare khayal mein
taaron se puuch lo meri rudaad[story]-e-zindagi
raaton ko jagata hun tumhare khayal mein
duniya ko ilm kya hai zamane ko kya khabar
duniya bhula chuka hun tumhare khayal mein
duniya khadi hai muntzir-e-nagma-e-alam
'behzad' chup khade hain kisi ke khayal mein

Saturday, July 4, 2009
zinda hun iss tarah ki gham-e-zindgi nahin

jalta hua diya hun magar roshani nahin
vo muddaten hui hain kisi se juda huye
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
aane ko aa chuka tha kinara bhi saamne
khud usske paas meri hi nayya gayi nahin
honton ke paas aaye hansi, kya majaal hai
dil ka muamla hai koi dillagi nahin
ye chaand ye hawa ye fiza, sab hai maand maand
jo tu nahin toh inn mein koi dil-kashi nahin

Thursday, June 4, 2009
behzad lucknawi ki shayyiri
ae jazba-e-dil gar main chahun har cheez muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaaye
kashti ko khuda par chod bhi de, kashti ka khuda khuda haafiz hai
mushkil toh nahin inn maujon mein behta hua saahil aa jaaye
ae dil ki lagi chal yunhi sahi, chalta toh hun unnki mehfil mein
uss waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mehfil aa jaaye
ae raahbar-e-kaamil chalane ko tayyar toh hun par yaad rahe
uss waqt mujhe bhatka dena jab saamne manzil aa jaaye
haan yaad mujhe tum kar lena awaaz mujhe tum de lena
iss raah-e-muhbbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye
ab kyun dhondhun vo chasm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam
main chahta hun ae jazba-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
iss jazba-e-dil ke baare mein ek mashvara tum se leta hun
uss waqt mujh pe kya laazim hai jab tujhpe mera dil aa jaaye
ae barq-e-tajalli kya tune mujhko bhi musa samjha hai

Subscribe to:
Posts (Atom)