Showing posts with label zafar iqbal ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label zafar iqbal ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009

zafar iqbal ki shayyiri

dar hai koi vujuud ke andar khula hua
ye raaz vo hai jo nahin mujh par khula hua
upar ghiri hui kisi chup ki ghataayen si
nieeche kisi sada ka samandar khula hua
aa tu bhi dekh taab-e-tamasha tujhe bhi thi
bandar bandha hua hai, machandar khula hua
thak kar giri saraab[mirage]-e-safar-e-aarzuu 'zafar'
har surkh reg[quicksand] mauj thi bistar khula hua

Saturday, April 4, 2009

zafar iqbal ki shayyiri

यहां किसी को भी कुछ हस्ब-ए-आरज़ू न मिला
किसी को हम न मिले और हम को तू न मिला
गिज़ाल-ए-अश्क सर-ए-सुबह दूब-ए-मिज़्गाँ पर
कब अपनी आंख खुली और लहू लहू न मिला
चमकते चांद भी थे शहर-ए-शब के एवान में
निगार-ए-गम सा मगर कोई शमा-रू[face] न मिला
उन्ही की रम्ज़[secret]] चली है गली गली में यहां
जिन्हें इधर से कभी इज़्न[permission]-ए-गुफ्तगू न मिला
फिर आज मैकदा-ए-दिल से लौट आये हैं
फिर आज हम को ठिकाने का सुबू न मिला

zafar iqbal ki shayyiri

yahan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
ghizaal-e-ashk sar-e-subah duub-e-mizhgaan par
kab apni aankh khuli aur lahu lahu na mila
chamkte chaand bhi thay shehr-e-shab ke aivaan mein
nigaar-e-gham sa magar koi shamaa-ruu[face] na mila
unnhi ki ramz[secret] chali hai gali gali mein yahan
jinhen idhar se kabhi izn[permission]-e-guftgu na mila
phi aaj mail_kada-e-dil se laut aaye hain
phir aaj humko thikane ka subuu na mila

zafar iqbal ki shayyiri

nahin ki milne ka silsila rakhna
kisi bhi satah pe koi toh rabta rakhna
marenge log hamare siva bhi tum pe bohat
yeh zurm hai toh phir iss zurm ki saza rakhna
madad ki tum se tavaqo toh khair kya hogi
garib-e-shehr-e-sitam hun mera pata rakhna
bas ek sham hamen chaahiye na puchhna kyun
yeh baat aur kisi shaa pe utha rakhna
naye safar pe ravana hua hun az-sar-e-nau
jab aaunga toh mera naam bhi naya rakhna
fasil-e-shauq uthana zafar zaroor magar
kissi taraf se niklne ka rasta rakhna

wel come