Showing posts with label farhat shehzad ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label farhat shehzad ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, March 31, 2009

farhat shehzad ki shayyiri

khwaab judaa rang bharna aur
kehana aur hai karna aur
seharaa ka dukh samjhe kaun
hona aur guzarna aur
ghar mein rehana baat judaa
dil mein jaan utarnaa aur
jaan dekar bhi lagta hai
mujho hai kuchh marna aur

farhat shehzad ki shayyiri

ek bas tu hi nahin mujhse khaffa ho baitha
maine jo sang taraasha vo khuda ho baitha
uth ke manzil hi agar aaye toh shayad kuch toh
shauq-e-manzil mein mera ablaapan[छाले]ho baitha
maslehat chiin gayi quvvat-e-guftaar[strength of talk] magar
kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha
sukriya ae mere qaatil ae masihaa mere
zehar jo tune diya tha vo dawa ho baitha
jaan-e-'shehzad' ko min_jumlaa-e-adaa[half hearted welcome] pa kar
huuk vo thi ki jii tan se juda ho baitha

wel come