Showing posts with label gulzar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label gulzar ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 12, 2009

gulzar ki shayyiri

qadam ussi mod par jame hain
nazar samete huye khada hun
hunoon ye majboor kar raha hai palat ke dekhun
khudhi ye kehti hai mod mud ja
agarche ehsaas keh raha hai
khule dareeche ke pichhe do ankhen jhankti hain
abhi mere intzar mein vo bhi jaagti hai
kahin toh usske goshe-e-dil mein dard hoga
usse ye zidd hai ke main pukarun
mujhe taqaaza hai vo bula le
qadam ussi mod par jame hain
nazar samete huye khada hun

gulzar ki shayyiri

ek parwaaz dikhayi di hai
teri aawaz sunayi di hai
jiski aankhon mein kati thi sadiyan
ussne dadiyon ki judai di hai
sirf ek safah palat kar ussne
beeti baaton ki safai di hai
phir wahin laut ke jana hoga
yaar ne kaisi rihai di hai
aag ne kya kya jalaya hai shav par
kitni khush rang dikhayi di hai

Friday, May 29, 2009

gulzar ki shayyiri

zindagi yun hui basar tanha
kaafila sath aur safar tanha
apne saaye se chaunq jaate hain
umar guzri hai iss qadar tanha
raat bhar bolte hain sanaate
raat kaate koi kidhar tanha
din guzarta nahi hai logo mein
raat hoti nahi basar tanha
humne darwaze tak toh dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha

gulzar ki shayyiri

din kuch aise guzarta hai koi
jaise ehsaan utarta hai koi
aaiina dekh ke tasali hui
humko iss ghar mein jaanta hai koi
pak gaya hai shajar pe phal shayad
phir se patthar uchhalta hai koi
phir nazar mein lahu ke chhiinte hain
tumko shaaad mughaataahai koi
der se gunjte hain sannate
jaise humko pukarta hai koi

gulzar ki shayyiri

sham se aankh mein nami si hai
aaj phir aapki kami si hai
dafan kar do humen ki saans mile
nabz kuch der se thami si hai
waqt rehta nahi kahin chhupkar
isski aadat bhi aadmi si hai
koi rishta nahi raha phir bhi
ek tasleem laazmi si hai

Wednesday, March 18, 2009

gulzar ki shayyiri

जमी भी उसकी जमी की नेमतें भी उसीकी
ये सब उसी का हैं घर भी घर के बंदे भी


खुदा से कहिये किसी दिन घर भी आये

gulzar ki shayyiri

hamme toh aadat na thi
zami pe paanv rakhnay ki
kabhi sar kabhi ankho par
tumhi nay toh bithaya tha

magar ab na saaye hai
na nigha-hon kay bulave hai
pyar ke vaade nahi
na maukay hai shikayat ke

jhuka ke sar chale jaate hai
hum 'gulzar' mehfil se
dil ke tootne ki na koi
ho awaz yeh vaada hai

wel come