Showing posts with label meer taqi meer. Show all posts
Showing posts with label meer taqi meer. Show all posts

Thursday, April 30, 2009

meer ki shayyiri

isitkaamat[firmness] se hai jun kohe-kavi dil, lekin
zauf se ishq hai, dhehta hun, gira jaata hun

meer ki shayyiri

chuthon kahin ezaa[pain] se laga ek hi zalaad
ta hashr mere sar pe ye ehsaan rahega

Saturday, April 25, 2009

meer ki shayyiri

gham raha jab tak ki dam mein dam raha
dil ke jaane ka nihayat gham raha

Wednesday, April 22, 2009

meer ki shayyiri

ibtidaa-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
qaafile mein subah ke ik shor hai
yaani gaafil hum chale sota hai kya
sabz hoti hi nahin ye sar-zamiin
tukhm-e-khwahish dil mein tu botaa hai kya
ye nishaan-e-ishq hain jaate nahin
daag chhaati ke abas dhota hai kya
gairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziz
'meer' iss ko raayegan khotaa hai kya

wel come