Showing posts with label hafeez jalandhari ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label hafeez jalandhari ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

nayi chaal

har qadam jisko nayi chaal na chalni aaye
vo toh rahzan bhi nahin rahnuma kya hoga


Friday, July 17, 2009

hafeez jalandhari ki shayyiri

dil se tera khayal na jaaye toh kya karoon
main kya karoon koi na bataye toh kya karoon
ummid dilnashin sahi duniya hansi sahi
tere bagair kuch bhi na bhaye toh kya karoon
dil ko khuda ki yaad tale bhi daba chukka
kambhakt phir bhi chain na paaye toh kya karoon
din ho ke raat ek mulakaat ki hai baat
it’ti si baat bhi na ban aaye toh kya karoon
akhbaar se meri khabre-marg[marne ki khabar] ae ‘hafeez’
mera hi dost padh ke sunaye toh kya karoon

hafeez jalandhari ki shayyiri

hai khizan bhi dam bakhud[surprised] rangegulistan dekh kar
gul ko girayaan dekh kar bulbul ko khandan dekh kar
shane-rehmat ko bhi apna zayiza lena pada
aa padi mushkil mera tu mare ayaan[paap ki potli] dekh kar
iss mushk’katgah mein ik gosha-e-raahat bhi hai
mutmin hun manzre-gaure-gariban dekh kar
sangdil samjha barhman shekh samjhe badmazaak
hans pade donon mujhe ab tak musalman dekh kar
shikwa farmate hi ulti minate karni padi
dil peshman ho gaya unnko peshman dekh kar

hafeez jalandhari ki shayyiri

inn talkh ansuon ko nay un munh banake pii
ye mai hai khudkashiid[khud khinchi hui], isse muskura ke pii
utarenge kiske halq se ye dil kharaash ghoont
kisko payaam dun ki mere saath aa ke pii
mashruube zam[[sharab] hi talkhi gham ka illaz hai
shiriniye kalaam zara sii mila ke pii
waaiz ki ab na maan agar jaan hai aziz
iss daur mein ye cheez bataur ik dawa ke pii
bhar payala khamakdaaye-ziist[jiwan ki madhushala] se ‘hafeez’
khoone-jigar hai, saamne chalkar khuda ke pii

hafeez jalandhari ki shayyiri

zindgi se nibah mushkil hai
ye musalsal gunah mushkil hai
dosti hi mein dushmani bhi ho
ye nayi rasmo-raah mushkil hai
irtakaabe gunah[paap karma] sahl nahin
intkhabe gunah mushkil hai
humse iss masale pe baat na kar
fukr[sant hona/gareeb] ae badshah mushkil hai
ibne aadm[admi ki aulad] ko ibne-aadm se
qabr mein bhi panah mushkil hai

hafeez jalandhari ki shayyiri

aakhir mujhe ye kaam bhi karma hi padega
jeena yahi jeena hai toh marna hi padega
allah ataapaash[[muaf karne wala]-v-khataposh[galti chupane wala] sahi dost
allah ke bandon se toh darna hi padega
ab haaye na kar, haaye se ab kuch nahin banta
nakhoon hi sahi,, zakhm toh bharna hi padega
saahil nahin mallum toh ye sair kahan tak
kashti se beharhaal utarna hi padega
hai sadgi-e-sher ko nak’kaad[critic] ka dhadka
ye daure-numaiesh hai sanvarna hi padega

hafeez jalandhari ki shayyiri

aasman bedaad[atiyachar] hi karta raha
aadmi farihaad hi karta raha
ishq ki surat na dekhi phir kahin
husn mujhko yaad hi karta raha
aaj tak hun tere vaade ka aasir[qaidi]
tu mujhe aazad hi karta raha
dil ki basti apne haathon se ‘hafeez’
har koi barbaad hi karta raha

hafeez jalandhari ki shayyiri

mohatsib[operator] kaifiyat-pirmugan[[sarab pesh karne wala] khulti nahin
din nikal aaya magar usski dukan khulti nahin
haaye kal tak jinko ulfat ke sabak deta tha main
aaj unnke saamne meri zuban khulti nahin
sunke mera haal-e-dil khamosh reh jaata hai kyun
tere dil ki baat kyun ae raazdan khulti nahin
ab mujhe shaq hai ki hain akhlaas ke maani kuch aur
ab toh kuch tarz-e-tapaake dostan khulti nahin
dil purane daur hi ki ek uljhan hai ‘hafeez’
jiske peecho-kham ki mujhse guthiyan khulti nahin

hafeez jalandhari ki shayyiri

daur ye hai ki daure-mai bhi nahin
aur aisi toh koi shai bhi nahin
ye azeeb-o-garib barzakh[nark] hai
zindgi hai bhi aur hai bhi nahin
maikade bandh hai toh mastjid tak
humse hogi ye raah tai bhi nahin
nala tha jiske dam se nagma-taraaz[gaana]
saans ke lab pea b vo lai bhi nahin
dard ki thaap thi jo dil pe ‘hafeez’
ab vo ukhadi hui si lai bhi nahin

hafeez jalandhari ki shayyiri

khud par dekh kar meri nigahen
gale mein daal di ik buut ne baahein
ubal padne lage phir garam aansu
umad aane lagin phir sard aahen
nikala tha jahan se mohatsib[operator] ne
vahi milne lagi hain phir panahe
jo tan par reh gaye thay chand purze
vo kaanton ke saron par hain kulahein[cap]
naseeba jag utha phir maikadon ka
ujadkar reh gayin phir khankaahen[pavitar jagah]

hafeez jalandhari ki shayyiri

har mulakaat mein ik baat nazar aati hai
surate-tarke-mulakaat nazar aati hai
ye azab marhala-e-umar hai ya rab ki mujhe
har buri baat buri baat nazar aati hai
nazar aati hai kisi dost ki surat jo kahin
ek fehriste-inayaat nazar aati hai
zindgi mein toh koi cheez anokhi na rahi
maut hi ek nayi baat nazar aati hai
tere utare huye chehre par bhi yaaron ko ‘hafeez’
surkhi-e-harf-o-hikayat[stories] nazar aati hai

hafeez jalandhari ki shayyiri

kya puchte ho, aaj se pehle kahan rahe
pucho, makan mila bhi toh kyun la_makan rahe
aisa niyaaz[rule] peshe-khudavandgaane naaz
kahiye zamiin pe kyun na tahe-aasman rahe
majnu ko apni manzile-maksood mil gayi
usski bala se naakraye-laila ravaan rahe
qaba sa buutkada bhi toh allah ka ghar bana
kyun sar zamiine-paak mukaame-bataan rahe
shirini-e-bayaan na sapar[dhal] ban saki ‘hafeez’
aamaazgah[jama hone ki jagah]-talkhiye-ahle zaban rahe

hafeez jalandhari ki shayyiri

arz-e-hunar wajah-e-shikayat ho gayi
chota sa munh tha mujhse badi baat ho gayi
dushnaam ka jawab na sujha bajuuz[alawa] salaam
zahir mere kalaam ki aukaat ho gayi
nikle jo maikade se toh masjid tha har mukaam
har ghaam par talaafiye[paraschit]-mafaat ho gayi
yaaron ki barhami[narazgi] pe hansi aa gayi ‘hafeez’
ye mujhse ek aur buri baat ho gayi

hafeez jalandhari ki shayyiri

keh gaye ‘al-firaq’[juda hote hain] yaarane
reh gaye na_tamam afsane
dosti ab gale ka haar nahin
taar tuuta bikhar gaye daane
zindgi se nipat raha hun abhi
maut kya hai meri bala jaane
kar raha hun talash apnon ki
jab se ghum ho gaye hain begaane
humne roka ‘hafeez’ ko varna
aur bhi kuch lage thay farmaane

hafeez jalandhari ki shayyiri

agar mauj hai beech dhaare, chala chal
vagarna kinare-kinare chala chal
issi chaal se mere payare chala chal
guzarti hai jaise guzare chala chal
tujhe saath dena hai behrupiyon ka
naye se naya roop dhaare chala chal
musalsal buuton ki tamnna kiye ja
musalsal khuda ko pukare chala chal
tujhe toh abhi der tak khelna hai
issi mein toh hai jeet, hare chala chal

hafeez jalandhari ki shayyiri

koi chara nahin dua ke siva
koi sunta nahi khuda ke siva
mujhse kya ho saka waffa ke siva
mujhko milta bhi kya saza ke siva
dil sabhi kuch zaban par laaya
ik faqat arz-e-mudda ke siva
doston ke ye mukhlisana[apnapan] teer
kuch nahin meri hi khata ke siva
ae ‘hafeez’ aah-aah par aakhir
kya kahen dost wah-wah ke siva

hafeez jalandhari ki shayyiri

ab toh kuch aur bhi andhera hai
ye meri raat ka savera hai
rahzanon se toh bhaag nikla tha
ab mujhe rahbaro ne ghera hai
aage-aage chalo tabar[hathyar] walo
abhi jangle bohat ghanera hai
kaafila kiski pairvi mein chale
kaun sabse bada lutera hai ?
so raho ab ‘hafeez ji’ tum bhi
ye nayi zindgi ka dhera hai

hafeez jalandhari ki shayyiri

ye kya mukaam hai, vo nazaare kahan gaye
vo phool kya huye, vo sitare kahan gaye
yarane-bazme-zuraate-rindana kya hui
unn mast ankhadiyon ke ishare kahan gaye
ek aur daur ka vo takaza kidhar gaya
umade huye vo hosh ked hare kahan gaye
uth-uth ke baith chuki gard raah ki
yaari ! kaafle thake hare kahan gaye
betaabtere dard se thay charagar ‘hafeez’
kya janiye vo dard ke maare kahan gaye

hafeez jalandhari ki shayyiri

hawa bhi khush gavaar hai, gulon pe bhi nikhar hai
tarnnum hazar hai, bahar par bahar hai,
kahan chala hai saakiya
idhar toh laut idhar toh aa
arre ye dekhta hai kya
utha subuu, subuu utha
subuu utha payala bhar, payala bhar ke de idhar
chaman ki simt kar nazar, sama’n toh dekh be-khabar
vo kaali kaali badliyan
uffak pe ho kahin ayaan
vo ik huzoom-e-mai kashan
hai suye=maikada ravaan
ye kya guman hai badguman, samjh na mujhko natvan
khayal-e-zohad[thinking for prayers] abhi kahan
abhi toh main jawan hun


hafeez jalandhari ki shayyiri

kaulan[kathit tor pe] toh hum bhi mai ke liye haan na kar sake
fealan[vivahrik roop se] khilafe-marzie-rindan[sharabi] na kar sake
rakhte thay ashqe-garam bhi hum aahein-sard bhi
izhare dard dil kisi unwan na kar sake
buutkhana saamne ho toh le kar khuda ka naam
hai koi kaam jisko musalmaan na kar sake
kuch iss tarah khilafe-tawakko[asha ke ulat] tum aa gaye
hum gadbada gaye, koi samaan na kar sake
yeh saans hi toh wajahe-marz hai magar tabiib
it’te se ek dard ka darma’n[illaz] na kar sake

wel come