Showing posts with label waseem barelvi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label waseem barelvi ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

kitna dushwaar tha

kitna dushwaar tha,duniya !...ye hunar aana bhi;
tujhse hi fasla rakhna....tujhe apnana bhi..
kaisi aadaab-e-numaaish ne lagaayeen shartein;
phool hona hi nahin....phool nazar aana bhi.
dil ki bigdi huyi aadat se... ye... ummid na thi;
bhool jaayega.... ye ek din.... tera yaad aana bhi.
jaane kab ....shahr ke raston ka badal jaaye mizaaj;
itna aasan toh nahin....laut ke ghar aana bhi.
aise rishte ka bharm rakhna koi khel nahin;
tera hona bhi nahin...aur...tera kehlana bhi.
khud ko pahchan ke dekhe toh... zara.. ye dariya;
bhool jaayega .....samandar ki taraf ....jaana bhi.
jaan-ne waalon ..ki iss bheed se ...kya hoga 'waseem;
iss mein... ye dekhiye....koi....mujhe pahchana bhi........

Wednesday, July 29, 2009

apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise

apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise
teri marzi ki mutabik nazar aayen kaise
ghar sajane ka tassavur toh bahut baad ka hai
pehle ye tai ho ki iss ghar ko bachaayen kaise
qah-qaha aankh ki bartaav badal deta hai
hansnewale tujhe aansu nazar aayen kaise
koi apni hi nazar se toh hamen dekhega
ek qatre ko samundar nazar aayen kaise

aate aate mera naam saa reh gaya

aate aate mera naam saa reh gaya
usske honton pe kuch kanpata reh gaya
vo mere samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta reh gaya
jhuuth wale kahin se kahin badh gaye
aur main tha ki sach bolta reh gaya
aandhiyon ke irade toh achchhe na thay
ye diya kaise jalta hua reh gaya

lahu na ho toh

lahu na ho toh kalaam tarjumaan nahin hota
hamare daur mein aansu zuban nahin hota
jahan rahega vahin raushni lutaayega
kisi charag ka apna makan nahin hota
ye kis maqam pe laayi hai meri tanhaai
ke mujhse aaj koi badguman nahin hota
main ussko bhuul gaya hun ye kaun maanega
kisi charag ke bas mein dhuan nahin hota
'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujhko
vo lafz hun jo kabhi daastan nahin hota

main apne khwab se

main apne khwab se bichhada nazar nahin aata
tu iss sadi mein akela nazar nahin aata
ajab dabaav hai in bahri hawaaon ka
gharon ka bojh bhi uthata nazar nahin aata
main ek sada pe hamesha ko ghar chhod aaya tha
magar pukarne wala nazar nahin aata
main teri raah se hatne ko hat gaya lekin
mujh toh koi bhi rasta nazar nahin aata
dhuaan bhara hai yahan sabhi ki aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata

usske ghar ka pata

mili hawaon mein udane ki vo saza yaaro
ke main zamiin ke rishton se kat gaya yaaro
vo be-khayal musafir main rasta yaaro
kahan tha bas mein mere ussko rokna yaaro
mere qalam pe zamane ki gard aisi thi
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
tamaam shahr hi jis ki talash mein guum tha
main usske ghar ka pata kis se puchhta yaaro

Monday, July 13, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

usolon pe jahan aanch aaye takraana zaruri hai
jo zinda ho toh phir zinda nazar aana zaruri hai
nayi umron ki khud-mukhtiyariyon ko kaun samjhaye
kahan se bach ke chalna hai kahan jana zaruri hai
thake haare parinde jab basere ke liye lauten
saliqaamand shaakhon ka lachak jana zaruri hai
bohat bebaak aankhon mein talluq tik nahi pata
muhabat mein kashish rakhne ko sharmaana zaruri hai
saliqa hi nahi shayad usse mehsuus karane ka
jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaruri hai
mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki iss ke baad bhi duniya mein kuch pana zaruri hai


Sunday, June 28, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

hamare ghar ka pata puchne se kya haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahi hoti

Sunday, June 21, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

vo kahan jaata kise koi safaai deta
apne aage jise kuch bhi na dikhaai deta
vo koi jazba samjhane hi ko tayyar nahin
main kahan tak usse rishton ki duhaai deta
ek andekhe safar par hi nikalna hoga
pyar mein rasta hota toh dikhaai deta
ghar se nikala hun ki din jeet ke ab lautunga
raat aati toh yahi khwab dikhaai deta
kis tarah ghar ke bade shahr jalane nikale
kaash bachchon ko ye manzar na dikhaai deta
tujhse haat kar main kise dekhta tere jaisa
koi andaz kisi mein toh dikhaai deta
raushani dega mere ghar ko kahan aisa chirag
tere chehre ki badaulat jo dikhaai deta

Thursday, June 4, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

aate aate mera naam saa rah gaya
usske honthon pe kuchh kaanpata reh gaya
vo mere saamane hi gaya aur main
raste ki tarah dekhata reh gaya
jhuuth wale kahin se kahin badh gaye
aur main tha ki sach bolata reh gaya
aandhiyon ke irade toh achchhe na thay
ye diya kaise jalata hua reh gaya

Sunday, May 31, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

main iss ummid pe dooba ki tu bacha lega
ab iss ke baad tu mera imtihaan kya lega
ye ek mela hai vaada kisi se kya lega
dhalega din toh harek apna raasta lega
main bhujh gaya toh hamesha ko bhujh hi jaonga
koi charaag nahi hun jo phir jalaa lega
kaleja chahiye ... dushman se dushmani ke liye
jo be_amal hai vo badla kissi se kya lega
hazaar tod ke aa jaaon uss se rishta "waseem"
main jaanta hun vo jab chahega bula lega

Thursday, April 16, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

अँधेरा ज़हन का सिम्त ए सफ़र खोने लगता है
किसी का ध्यान आता है उजाला होने लगता है
किसी ने रख दिए ममता भरे दो हाथ क्या सर पर,
मेरे अंदर कोई बच्चा बिलख कर रोने लगता है

Tuesday, March 31, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

अँधेरा ज़हन का सिम्त ए सफ़र खोने लगता है
किसी का ध्यान आता है उजाला होने लगता है

किसी ने रख दिए ममता भरे दो हाथ क्या सर पर,
मेरे अंदर कोई बच्चा बिलख कर रोने लगता है

Wednesday, March 18, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

ये अपना ज़र्फ़ है जो दर ब दर होने नहीं देता
इधर हो जाये तो फिर उधर होने नहीं देता

ख़ुदा महफूज़ रखना चाहता है जब दिया कोई ,
तो फिर जालिम हवाओं को ख़बर होने नहीं देता

wel come