haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab vo rukhsat hua tab yaad aaya
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label nasir kazmi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label nasir kazmi ki shayyiri. Show all posts
Sunday, August 23, 2009
Wednesday, July 29, 2009
naaye kapade badal kar jaaun kahan
naaye kapade badal kar jaaun kahan aur baal banaaun kis ke liye
vo shaks toh shahr hi chhod gaya ab khaak udaaun kis ke liye
jis dhuup ki dil ko thandak thi vo dhuup ussi ke saath gayi
inn jalti bujhati galiyon mein ab khaak udaaun kis ke liye
vo shahr mein tha toh usske liye auron se milna padata tha
ab aise-waise logon ke main naaz uthaaun kis ke liye
ab shahr mein isska badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
aivaan-e-ghazal mein lafzon ke guldaan sajaaun kis ke liye
muddat se koi aaya na gaya sunsaan padi hai ghar ki faza
inn khaali kamaron mein 'nasir' ab shamma jalaaun kis ke liye

diwane ke munh na lago toh behatar hai
'nasir' kya kehta phirta hai kuch na suno toh behatar hai
diwana hai diwane ke munh na lago toh behatar hai
kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega
rukh-suukhi jo mil jaaye shukr karo toh behatar hai
kal ye taab-o-tavaan na rahegi thanda ho jaayega lahu
naam-e-khuda ho javaan abhi kuch kar guzaro toh behatar hai
kya jaane kya ruut badle haalat kaa koi theek nahin
ab ke safar mein tum bhi hamare saath chalo toh behatar hai
kapade badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
raat bahut kaali hai 'nasir' ghar mein raho toh behatar hai

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log rukhsat huye kab yaad nahin
dil mein har waqt chubhan rehati thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
vo sitara thi ke shabnam thi ke phuul
ik surat thi ajab yaad nahin
aisa uljha hun gham-e-duniya mein
ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin
bhulate jaate hain maazii ke dayaar
yaad aayen bhi toh sab yaad nahin
ye haqiiqat hai ke ahbaab ko ham
yaad hi kab thay ke ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaagan 'nasir'
dii ke bujhne ka sabab yaad nahin
log rukhsat huye kab yaad nahin
dil mein har waqt chubhan rehati thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
vo sitara thi ke shabnam thi ke phuul
ik surat thi ajab yaad nahin
aisa uljha hun gham-e-duniya mein
ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin
bhulate jaate hain maazii ke dayaar
yaad aayen bhi toh sab yaad nahin
ye haqiiqat hai ke ahbaab ko ham
yaad hi kab thay ke ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaagan 'nasir'
dii ke bujhne ka sabab yaad nahin
tu hai yaa tera saaya hai
tu hai yaa tera saaya hai
bhesh judaai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
khamoshi ka qufl pada hai
chiikh rahe hain khaali kamare
shaam se kitni tez hawa hai
darwaze sar phod rahe hain
kaun iss ghar ko chhod gaya hai
hichaki thamati hi nahin 'nasir'
aaj kisi ne yaad kiya hai
bhesh judaai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
khamoshi ka qufl pada hai
chiikh rahe hain khaali kamare
shaam se kitni tez hawa hai
darwaze sar phod rahe hain
kaun iss ghar ko chhod gaya hai
hichaki thamati hi nahin 'nasir'
aaj kisi ne yaad kiya hai
ye bhi kya shaam-e-mulaqat aayi
ye bhi kya shaam-e-mulaqat aayi
lab pe mushkil se teri baat aayi
subah se chup hain tere hijr nasiib
haaye kya hoga agar raat aayi
bastiyan chhod ke barse baadal
kis qayamat ki ye barsat aayi
koi jab mil ke hua tha rukhsat
dil-e-betaab vahi raat aayi
saaya-e-zulf-e-buutan mein 'nasir'
ek se ek nayi raat aayi
lab pe mushkil se teri baat aayi
subah se chup hain tere hijr nasiib
haaye kya hoga agar raat aayi
bastiyan chhod ke barse baadal
kis qayamat ki ye barsat aayi
koi jab mil ke hua tha rukhsat
dil-e-betaab vahi raat aayi
saaya-e-zulf-e-buutan mein 'nasir'
ek se ek nayi raat aayi
phir sawan ruut ki pawan chali tum yaad aaye
phir sawan ruut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki paazeb baji tum yaad aaye
phir kunjen bolin ghaas ke hare samandar mein
ruut aayi piile phuulon ki tum yaad aaye
phir kaaga bola ghar ke suune aamgan mein
phir amrat ras ki bond padi tum yaad aaye
pehle toh main chiikh ke roya aur phir hansane laga
badal garja bijli chamki tum yaad aaye
din bhar toh main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaron se dhuup dhali tum yaad aaye

Sunday, June 28, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
O ! pichli ruut ke saath
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali karma hun
apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhokha hun
apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
main bhi tere jaisa hun
O ! pichli ruut ke saath
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali karma hun
apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhokha hun
apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
Wednesday, June 24, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
rang barsaat ne bhare kuch toh
zakhm dil ke huye hare kuch toh
fursat-e-bekhudi ganiimat hai
gardishen ho gayin pare kuch toh
kitne shoriidah sar thau parwaane
shaam hote hi jal mare kuch toh
aisa milna nahin tera milna
dil magar justuju kare kuch toh
aao ! 'nasir' koi ghazal chheden
jii behal jayega are kuch toh
zakhm dil ke huye hare kuch toh
fursat-e-bekhudi ganiimat hai
gardishen ho gayin pare kuch toh
kitne shoriidah sar thau parwaane
shaam hote hi jal mare kuch toh
aisa milna nahin tera milna
dil magar justuju kare kuch toh
aao ! 'nasir' koi ghazal chheden
jii behal jayega are kuch toh
Saturday, June 20, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
kaun iss raah se guzarta hai
dil yun hi intzaar karta hai
dekh kar bhi na dekhne waale
dil tujhe dekh dekh darta hai
shahr-e-gul mein gayi hai saari raat
dekhiye din kahan guzarta hai
dhyan ki sidhiyon pe picchle pahar
koi chupke se paanv dharta hai
dil toh mera udas hai 'nasir'
shahr kyun saa'en saa'en karta hai
dil yun hi intzaar karta hai
dekh kar bhi na dekhne waale
dil tujhe dekh dekh darta hai
shahr-e-gul mein gayi hai saari raat
dekhiye din kahan guzarta hai
dhyan ki sidhiyon pe picchle pahar
koi chupke se paanv dharta hai
dil toh mera udas hai 'nasir'
shahr kyun saa'en saa'en karta hai
Friday, June 12, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyyar kuch der
kya royen fareb-e-aasman ko
apna nahin aitbaar kuch der
aankhon mein kati pahad si raat
so ja dil-e-beqarar kuch der
ae shehr-e-tarab ko jaane walon
karna mera intizaar kuch der
bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der
takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der
ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahar kuch der
duniya toh sada rahegi 'nasir'
ham log hain yaadgaar kuch der
hota agar ikhtiyyar kuch der
kya royen fareb-e-aasman ko
apna nahin aitbaar kuch der
aankhon mein kati pahad si raat
so ja dil-e-beqarar kuch der
ae shehr-e-tarab ko jaane walon
karna mera intizaar kuch der
bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der
takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der
ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahar kuch der
duniya toh sada rahegi 'nasir'
ham log hain yaadgaar kuch der
Wednesday, June 10, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
O pichli ruut ke saathi
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mujhse aankh milaye kaun
main tera aiina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamara hun
tere shiva mujhe pehne kaun
main tera tanka kapda hun
tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhonka hun
main bhi tere jaisa hun
O pichli ruut ke saathi
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mujhse aankh milaye kaun
main tera aiina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamara hun
tere shiva mujhe pehne kaun
main tera tanka kapda hun
tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhonka hun
nasir kazmi ki shayyiri
dil dhadkane ka sabab yaad aaya
vo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna .... ae dost
tu museebat mein azab yaad aaya
haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab vo rukhsat huye, tab yaad aaya
din guzara tha badi mushkil se
phir tera vaada-e-shab yaad aaya
baith kar saaya-e-gul mein 'nasir'
hum bohat roye, vo jab yaad aaya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shehr-e-tarab yaad aaya
vo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna .... ae dost
tu museebat mein azab yaad aaya
haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab vo rukhsat huye, tab yaad aaya
din guzara tha badi mushkil se
phir tera vaada-e-shab yaad aaya
baith kar saaya-e-gul mein 'nasir'
hum bohat roye, vo jab yaad aaya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shehr-e-tarab yaad aaya
nasir kazmi ki shayyiri
kuch toh ehasas-e-ziyaan tha pehale
dil ka ye haal kahan tha pehle
ab toh manzil bhi hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pehle
safar-e-shauq ke far_sang na puuch
waqt beqaid-e-makan tha pehle
ye alag baat ki gham raas hai ab
iss mein andeshaa-e-jaan tha pehle
yun na ghabaraaye huye phirate thay
dil ajab kunj-e-amaan tha pehle
ab bhi tu paas nahin hai lekin
iss qadar duur kahan tha pehle
dere daale hain bagolon ne jahan
us taraf chashm-e-ravaan tha pehle
ab vo dariya na bastii na vo log
kya Khabar kaun kahan tha pehle
har Kharaaba ye sada deta hai
main bhi aabad makaan tha pehle
kya se kya ho gayi duniya pyaare
tu vahin par hai jahaan tha pehle
ham ne aabad kiya mulk-e-sukhan
kaisa sunsaan samaan tha pehle
ham ne baKhshi hai Khamoshii ko zuban
dard majabuur-e-fugan tha pehle
hamne roshan kiya maamuur-e-gham
varna har simt dhuaan tha pehle
gham ne phir dil ko jagaya 'nasir'
khana_barbaad kahan tha pehle
dil ka ye haal kahan tha pehle
ab toh manzil bhi hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pehle
safar-e-shauq ke far_sang na puuch
waqt beqaid-e-makan tha pehle
ye alag baat ki gham raas hai ab
iss mein andeshaa-e-jaan tha pehle
yun na ghabaraaye huye phirate thay
dil ajab kunj-e-amaan tha pehle
ab bhi tu paas nahin hai lekin
iss qadar duur kahan tha pehle
dere daale hain bagolon ne jahan
us taraf chashm-e-ravaan tha pehle
ab vo dariya na bastii na vo log
kya Khabar kaun kahan tha pehle
har Kharaaba ye sada deta hai
main bhi aabad makaan tha pehle
kya se kya ho gayi duniya pyaare
tu vahin par hai jahaan tha pehle
ham ne aabad kiya mulk-e-sukhan
kaisa sunsaan samaan tha pehle
ham ne baKhshi hai Khamoshii ko zuban
dard majabuur-e-fugan tha pehle
hamne roshan kiya maamuur-e-gham
varna har simt dhuaan tha pehle
gham ne phir dil ko jagaya 'nasir'
khana_barbaad kahan tha pehle
Friday, June 5, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
gardishon ke hai maare huye na, dushmanon ke sataye huye hai
jitne bhi zakhm hai mere dil par, doston ke lagaye huye hai
jab se dekha tera qudd-o-qamat, dil pe tuuti hui hai qayamat
har bala se rahe tu salamat, din jawani ke aaye huye hai
aur de mujhko de aur saaqi, hosh rehta hai thoda sa baqi
aaj talkhi bhi hai inteha ki, aaj vo bhi paraaye huye hai
kal thay abad pehlu mein mere, ab hai ghaiiron mein dere
meri mehfil mein kar ke andhere, apni mehfil sajaye huye hai
apne haathon se khanjar chala kar, kitna masoom chehra bana kar
apne kandhon pe ab mera qatil, meri mayyat uthaye huye hai
mehwashon ko waffa se kya matlab, inn buuton ko khuda se kya matlab
innki masoom nazaron ne 'nasir', log pagal banaye huye hai

dukh ki lehar ne chheda hoga
yaad ne kankar phenka hoga
aaj toh mera dil kahta hai
tu is vaqt akela hoga
mere chuume huye haathon se
auron ko khat likhta hoga
bheeg chali ab raat ki palken
tu ab thak kar soya hoga
rel ki gahrii seeti sun kar
raat ka jangal gunja hoga
shahr ke khaali isteshan par
koi musafir utra hoga
aangan mein phir chidiyaan bolen
tu ab so kar uththa hoga
yaadon ki jalti shabnam se
phuul sa mukhda dhoya hoga
moti jaisi shakl banakar
aaiine ko takta hoga
shaam hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lautaa hoga
neeli dhundhli Khamoshi mein
taaron ki dhun sunata hoga
mera saathi sham ka taara
tujhse aankh milata hoga
shaam ke chalte haath ne tujhko
mera salam toh bheja hoga
pyaasi kurlaatii[restless] kuunjon[bird] ne
mera dukh toh sunaya hoga
main toh aaj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga
‘nasir’ tera meet purana
tujhko yaad to aata hoga

เคคेเคฐे เคเคจे เคा เคงोเคा เคธा เคฐเคนा เคนै
เคฆिเคฏा เคธा เคฐाเคค เคญเคฐ เคเคฒเคคा เคฐเคนा เคนै
เค เคเคฌ เคนै เคฐाเคค เคธे เคँเคों เคा เคเคฒเคฎ
เคฏें เคฆเคฐिเคฏा เคฐाเคค เคญเคฐ เคเคข़เคคा เคฐเคนा เคนै
เคธुเคจा เคนै เคฐाเคค เคญเคฐ เคฌเคฐเคธा เคนै เคฌाเคฆเคฒ
เคฎเคเคฐ เคตो เคถเคนเคฐ เคो เคชเคฏเคธा เคฐเคนा เคนै ?
เคตो เคोเค เคฆोเคธ्เคค เคฅा เค เค्เคे เคฆिเคจों เคा
เคो เคชिเคเคฒी เคฐाเคค เคธे เคฏाเคฆ เค เคฐเคนा เคนै
เคिเคธे เคขूंเคขोเคे เคเคจ เคเคฒिเคฏों เคฎें 'เคจाเคธिเคฐ' ?
เคเคฒो เค เคฌ เคเคฐ เคเคฒें, เคฆिเคจ เคा เคฐเคนा เคนै

tere aane ka dhokha sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
ajab hai raat se aankhon ka aalam
ye dariya raat bhar chadhta raha hai
suna hai raat bhar barsa hai baadal
magar vo shahr jo payasa raha hai ?
vo koi dost tha achche dinon ka
jo peechli raat se yaad aa raha hai
kise dhondhoge inn galiyon mein 'nasir' ?
chalo ab ghar chalen, din ja raha hai

Thursday, June 4, 2009
nasir kazmi ki shayyiri
kaun iss raah se guzarta hai
dil yunhi intzaar karta hai
dekh kar bhi na dekhne waale
dil tujhe dekh dekh darta hai
shahr-e-gul mein gayi hai saari raat
dekhiye din kahan guzarta hai
dhayan ki seediyan[stairs] pe peechle pehar
koi chupke se paanv dharta hai
dil toh mera udaas hai 'nasir'
shahr kyun saaen saaen karta hai

dil mein ek lehar si uthi hai abhi
koi taaza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil mein
koi diwar si giri hai abhi
kuch toh nazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nayi hai abhi
bhari duniya mein jii nahin lagta
jaane kis cheez ki kami hai abhi
tu shareek-e-sukhan nahin hai toh kya
hum-sukhan teri khamoshi hai abhi
yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahai hai abhi
shahr ke be-chiragh galiyon mein
zindgi tujhko dhundhti hai abhi
so gaye log uss haveli ke
ek khidki magar khuli hai abhi
tum toh yaaro abhi se uth baithe
shahr mein raat jaagti hai abhi
waqt achcha bhi aayega 'nasir'
gham na kar zindgi padi hai abhi
koi taaza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil mein
koi diwar si giri hai abhi
kuch toh nazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nayi hai abhi
bhari duniya mein jii nahin lagta
jaane kis cheez ki kami hai abhi
tu shareek-e-sukhan nahin hai toh kya
hum-sukhan teri khamoshi hai abhi
yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahai hai abhi
shahr ke be-chiragh galiyon mein
zindgi tujhko dhundhti hai abhi
so gaye log uss haveli ke
ek khidki magar khuli hai abhi
tum toh yaaro abhi se uth baithe
shahr mein raat jaagti hai abhi
waqt achcha bhi aayega 'nasir'
gham na kar zindgi padi hai abhi
Subscribe to:
Posts (Atom)