dukh ki lehar ne chheda hoga
yaad ne kankar phenka hoga
aaj toh mera dil kahta hai
tu is vaqt akela hoga
mere chuume huye haathon se
auron ko khat likhta hoga
bheeg chali ab raat ki palken
tu ab thak kar soya hoga
rel ki gahrii seeti sun kar
raat ka jangal gunja hoga
shahr ke khaali isteshan par
koi musafir utra hoga
aangan mein phir chidiyaan bolen
tu ab so kar uththa hoga
yaadon ki jalti shabnam se
phuul sa mukhda dhoya hoga
moti jaisi shakl banakar
aaiine ko takta hoga
shaam hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lautaa hoga
neeli dhundhli Khamoshi mein
taaron ki dhun sunata hoga
mera saathi sham ka taara
tujhse aankh milata hoga
shaam ke chalte haath ne tujhko
mera salam toh bheja hoga
pyaasi kurlaatii[restless] kuunjon[bird] ne
mera dukh toh sunaya hoga
main toh aaj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga
‘nasir’ tera meet purana
tujhko yaad to aata hoga
No comments:
Post a Comment