Showing posts with label roshan nanda ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label roshan nanda ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, June 17, 2009

roshan nanda ki shayyiri

tamnnaon ke behalave mein aksar aa hi jaate hain
kabhi ham chot khate hain kabhi ham muskurate hain
ham aksar doston ki bewafaaii seh toh lete hain
magar ham jaante hain dil hamare tuut jaate hain
kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aayi
thaki aankhon mein ashkon ke sitare jhil-milate hain

roshan nanda ki shayyiri

baad muddat unhen dekh kar yun laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuon ke gul muskurane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahar aa gaya
tashna nazaren milin shokh nazaron se jab
mai barasane lagi jaam bharane laga
saaqiya aaj teri zarurat nahin
bin piye bin pilaaye khumar aa gaya
raat sone lagi subah hone lagi
shamma bujhane lagi dil machalne lage
waqt ki raushani mein nahaai hui
zindgi pe ajab sa nikhar aa gaya
har taraf mastiyaan har taraf dilkashi
muskurate dilon mein khushii hii khushi
kitna chaha magar phir bhi uth na saka
teri mehfil mein jo ek baar aa gaya

wel come