par jo jal jaaye toh parwaaz pe harf aata hai
apne jeene ke har har andaaz pe harf aata hai
cheekhte rehna moassir nahin hota aksar
halq jo khusk ho toh aawaz pe harf aata hai
fann hai sharminda bohat larzish-e-aasaab ke saath
kabhi naghma pe kabhi saaz pe harf aata hai
jis ke baazu mein rahi quwwat-e-yalgaar nahin
usski toh fitrat-e-shahbaaz pe harf aata hai
apne qaabu mein zubaan jab nahin rehti ,maikash,
dil mein posheeda har ek raaz pe harf aata hai