Showing posts with label akbar allahbadi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label akbar allahbadi ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

raqeebon ne rapat likhwai hai thaane mein

raqeebon ne rapat likhwai hai thaane mein
ke qasim leta hai naam khuda ka iss zamaane mein

Sunday, August 23, 2009

pari ki zulf

pari ki zulf mein uljha, ya rishe[beard]-waaiz mein
dile-gariib hua lukma imtihanon ka

Tuesday, July 7, 2009

akbar allahbadi ki shayyiri

saans lete huye bhi darta hun
ye na samajhen ki aah karta hun
bahar-e-hasti mein hun misaal-e-hubaab[like a bubble]
mit hi jaata hun jab ubharta hun
itni aazadi bhi ganimat hai
saans leta hun baat karta hun
shekh sahab khuda se darte ho
main toh angrezon hi se darta hun
aap kya puuchhte hain mera mizaaj
shukr allaah ka hai marta hun
ye bada aib mujh mein hai 'akbar'
dil mein jo aaye keh guzarta hun

akbar allahbadi ki shayyiri

hangama hai kyun barpaa thodi sii jo pii li hai
daaka toh nahin daala chori toh nahin ki hai
na-tajurbakari se waa_iz ki ye baaten hain
iss rang ko kya jaane puuchho toh kabhi pi hai
uss mai se nahin matlab dil jis se hai begana
maqsuud hai uss mai se dil hi mein jo khinchati hai
vaan dil mein ki sadame do yaan jii mein ke sab sah lo
unnka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jii hai
har zarra chamakta hai anvaar-e-ilaahii se
har saans ye kehti hai ham hain toh khuda bhi hai
suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
buut ham ko kahe kaafir allaah ki marzi hai

akbar allahbadi ki shayyiri

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
bazaar se guzra hun kharidaar nahin hun
zinda hun magar ziist ki lazzat nahin baaqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahin hun
iss Khana-e-hasti se guzar jaaunga belaus
saaya hun faqat naqsh-e-diwar nahin hun
afasurda hun ibarat se dawa ki nahin haazat
gham ka mujhe ye zauf hai bimaar nahin hun
vo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daaman se main vo khaar nahin hun
yaa rab mujhe mahfuus rakh uss buut ke sitam se
main usski inayat ka talabgar nahin hun
afasurdgi-o-jaur ki kuch hadh nahin ‘akbar’
kaafir ke muqabil mein bhi deen_daar nahin hun

akbar allahbadi ki shayyiri

aankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete
armaan mere dil ka nikalne nahin dete
khaatir se teri yaad ko talne nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete
kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum toh hamen karwat bhi badalne nahin dete
parwanon ne faanuus ko dekha toh ye bole
kyon hamko jalaate ho ki jalne nahin dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko toh pehlu se vo talne nahin dete
dil vo hai ki fariyad se lab_rez hai har waqt
ham vo hain ki kuch munh se nikalne nahin dete
garmi-e-mohbbat mein vo hai aah se maane'
pankha nafas-e-sard ka jhalne nahin dete

akbar allahbadi ki shayyiri

dil mera jis se behlta koi aisa na mila
buut ke bande toh mile allaah ka banda na mila
bazm-e-yaaran se phiri baad-e-bahaari mayyus
ek sar bhi usse aamada-e-sauda[ready to go mad] na mila
gul ke khwahan[desirous of] toh nazar aaye bahut itr_farosh
taalib-e-zam_zam-e-bul_bul-e-shaida[phuulon par nyochhavar
hone wali bulbul ke nagmon ka ichchhuk] na mila
vaah kya raah dikhaai hamen murshad[teacher] ne
kar diya kaabe ko guum aur kaliisa[church] na mila
sayyad utthe jo gazat[newspaper] le ke toh laakhon laaye
shaikh quraan dikhata phira paisa na mila

Sunday, June 28, 2009

akbar allahbadi ki shayyiri

khilaaf-e-shar'aa kabhi sheikh thukata bhi nahin
magar andhere ujaale mein chuukta bhi nahin

Saturday, June 27, 2009

akbar allahbadi ki shayyiri

khuda jane mera kya vazn[weight] hai unnki nigahon mein
suna hai aadmi ko voh nazar mein tol lete hai

Tuesday, June 2, 2009

akbar allahbadi ki shayyiri

andaaz apne dekhte hain, aaiine mein woh
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho

uss mai se nahin matlab dil jis se ho begana
maqsuud hai uss mai se dil hi mein jo khichati hai

main teri mast nigahon ka bharm rakh lunga
hosh ayaa bhi toh keh doonga mujhe hosh nahin

suraj mein lage dhaba fitarat ke karishme hain
buut humko kahen kaafir allaah ki marzi hai

na-tajurbakari se vaa_iz ki ye baatein hain
iss rang ko kya jaane puuchho to kabhi pii hai

vaan dil mein ke sadme do yaan jii mein ke sab seh lo
unnka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jii hai

har zarra chamakta hai anavaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai, hum hain toh khuda bhi hai

hangama hai kyun barpa thodi si jo pii li hai
daka toh nahin dala chori to nahin ki hai

akbar allahbadi ki shayyiri

takeed-e-ibaadat[to remind for prayers] pe ye sab kehte hain larhke
peeri[old age] mein bhi 'akbar' ki zarafat nahin jaati

wel come