aankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete
armaan mere dil ka nikalne nahin dete
khaatir se teri yaad ko talne nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete
kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum toh hamen karwat bhi badalne nahin dete
parwanon ne faanuus ko dekha toh ye bole
kyon hamko jalaate ho ki jalne nahin dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko toh pehlu se vo talne nahin dete
dil vo hai ki fariyad se lab_rez hai har waqt
ham vo hain ki kuch munh se nikalne nahin dete
garmi-e-mohbbat mein vo hai aah se maane'
pankha nafas-e-sard ka jhalne nahin dete
No comments:
Post a Comment