duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
bazaar se guzra hun kharidaar nahin hun
zinda hun magar ziist ki lazzat nahin baaqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahin hun
iss Khana-e-hasti se guzar jaaunga belaus
saaya hun faqat naqsh-e-diwar nahin hun
afasurda hun ibarat se dawa ki nahin haazat
gham ka mujhe ye zauf hai bimaar nahin hun
vo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daaman se main vo khaar nahin hun
yaa rab mujhe mahfuus rakh uss buut ke sitam se
main usski inayat ka talabgar nahin hun
afasurdgi-o-jaur ki kuch hadh nahin ‘akbar’
kaafir ke muqabil mein bhi deen_daar nahin hun
No comments:
Post a Comment