Showing posts with label ali sardar jafri ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ali sardar jafri ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, July 7, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

tu mujhe itne pyaar se mat dekh
teri palakon ne narm saaye mein
dhuup bhi chandani sii lagati hai
aur mujhe kitni duur jaana hai
reit hai garm, paanv ke chhaale
yun damakte hain jaise angaare
pyar ki ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-waffa mein jaata hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itne pyaar se mat dekh

ali sardar jafri ki shayyiri

phir ek din aisa aayega
aankhon ke diye bujh jaayenge
haathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zaban se nataq-va-sada
ki har titali udd jaayegi

ik kaale samandar ki teh mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phuulon ki tarah se hansti hui
saari shaklen kho jaayengi

khoon ki gardish dil ki dhadakan
sab rangiiniyan so jaayengi

aur neeli faza ki makhmal par
hansati hui hiire ki ye kaani
ye meri zannat meri zamiin
isski subahen isski shaamen
bejaane huy besamajhe huye
ik musht gubaar-e-insaan par
shabanam ki ro jaayengi

har chiiz bhula di jaayegi
yaadon ke hasiin buut_khane se
har chiiz utha di jaayegi
phir koi nahin ye puuchhega
'sardar' kahan hai mehfil mein

lekin main yahan phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chidiyon ki zaban se gaaunga

jab beej hansenge dharti mein
aur konpalen apni ungali se
mitti ki tahon ko chhedengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sar sabz hatheli par lekar
shabnam ke qatre tulunga

main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaaz-e-sukhan ban jaaunga
rukhsaar-e-uruus-e-nau ki tarah
har aanchal se chhan jaaunga

jaadon ki havaayen daaman mein
jab fasal-e-khazaan ko laayengi
rahru ke javan qadamon ke tale
suukhe huye patton se mere
hansane ki sadaayen aayengi

dharti ki sunahari sab nadiyaan
aakash ki neeli sab jheelen
hasti se meri bhar jaayengi

aur saara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai sardaar yahan
har mashooqa sultana hai

main ek gurezaan lamha hun
ayyaam ke afsoon_khaane mein
main ek tadapta qatra hun
masaruuf-e-safar jo rahta hai
maazi ki suraahi ke dil se
mustaqbil ke paimaane mein

main sota hun aur jaagta hun
aur jaag ke phir so jaata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main marr ke amar ho jaata hun

ali sardar jafri ki shayyiri

main jahan tumko bulata hun vahan tak aao
meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firdaus-e-javan tak aao
teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam
teer ki tarah se aagosh-e-kaman tak aao
phuul ke gird phiro baag mein maniind-e-nasiim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke zahnnum ki haden khatam hui
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar vaham-o-guman husn-e-yahqiin tak pahuncho
par yaqiin se bhi kabhi vaham-o-guman tak aao

ali sardar jafri ki shayyiri

kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raaste band hain sab kuucha-e-qaatil ke siva
ba_is-e-rashq[cause for envy] hai tanharavi-e-rah_rau-e-shauq[the solitude of the path leading to one's desires]
hamsafar koi nahin duuri-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mehfil ke siva
teg munsif ho jahan daar-o-rasan[gallows and noose] hon shaahid[witness]
begunah kaun hai uss shahr mein qaatil ke siva
jaane kis rang se aayi hai gulshan mein bahaar
koi nagma hi nahin shor-e-silaasil[loud noise of leg irons] ke siva

ali sardar jafri ki shayyiri

jhalak

sirf lahara ke reh gaya aanchal
rang ban kar bikhar gaya koi
gardish-e-khoon ragon mein tez hui
dil ko chhu kar guzar gaya koi
phuul se khil gaye tasavvur mein
daaman-e-shauq bhar gaya koi

ali sardar jafri ki shayyiri

meri vaadi mein vo ik din yun hi aa nikali thi
rang aur nuur ka behta hua dhara ban kar
mehfil-e-shauq mein ik dhuum macha di uss ne
khalvat-e-dil[loneliness of the heart] mein rahi anzumn-aara[one who adorns a meeting] ban kar
shola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune laga
udd gayi vo mere seene se sharara ban kar
aur ab mere tasavvur ka ufaq roshan hai
vo chamakti hai jahan gham ka sitara ban kar

ali sardar jafri ki shayyiri

ek juu-e-dard[river of pain] dil se jigar tak ravaan[flowing] hai aaj
pighala hua ragon mein ik aatish-fishaan[volcano] hai aaj
lab sii diye hain taa na shikaayat kare koi
lekin har ek zakhm ke munh mein zaban hai aaj
taariikiyon[darkness] ne gher liya hai hayaat ko
lekin kisi ka ruu[face]-e-hasiin darmiyan hai aaj
jeene ka waqt hai yahi marne ka waqt hai
dil apni zindgi se bohat shaadmaan hai aaj
ho jaata hun shahiid[martyr] har ahal-e-waffa ke saath
har dastan-e-shauq meri dastan hai aaj
aaye hain kis nishaat[happiness] se ham qatl-gaah mein
zakhmon se dil hai chuur nazar gul-fishaan[spreading flowers] hai aaj
zindaniyon[prisoners] ne tod diya zulm ka guroor
vo dab-daba vo raub-e-hakumat kahan hai aaj

ali sardar jafri ki shayyiri

abhi aur tez kar le sar-e-khanjar-e-ada ko
mere khoon ki hai zaroorat teri shokhi-e-hina ko
tujhe kis nazar se dekhe ye nigah-e-dard_aagii’n
jo duaayen de rahi hai teri chashm-e-bewaffa ko
kahin reh gayin shayad tere dil ki dhadakanon mein
kabhi sun sake toh sun le meri khuunshida nava ko
koi bolta nahin hai main pukarta raha hun
kabhi buut_kade mein buut ko kabhi kaabe mein khuda ko

ali sardar jafri ki shayyiri

aawara hain galiyon mein main aur meri tanhai
jaayen toh kahan jaayen har mod pe rusavai
ye phuul se chehre hain hanste huye gul_daste
koi bhi nahin apna begaane hain sab raste
raahen hain tamashaai rahi bhi tamashaai

main aur meri tanhaai

armaan sulagate hain seene mein chita jaise
qaatil nazar aati hai duniya ki hawa jaise
roti hai mere dil par bajati hui shahanaai

main aur meri tanhaai

aakash ke maathe par taaron ka charagaan hai
pehlu mein magar mere zakhmon ka gulistan hai
aankhon se lahu tapka daaman mein bahaar aayi

main aur meri tanhaai

har rang mein ye duniya sau rang dikhati hai
roa kar kabhi hansti hai hans kar kabhi gaati hai
ye pyaar ki baahen hain ya maut ki angadaai

main aur meri tanhaai


ali sardar jafri ki shayyiri

tu mujhe itne pyar se mat dekh
teri palakon ke narm saaye mein
dhoop bhi chaandni si lagti hai
aur mujhe kitni door jaana hai
ret hai garm, paanv ke chhaale
yoon damakte hain jaise angaare
pyaar ki ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-wafaa mein jaata hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itne pyaar se mat dekh

Friday, June 12, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raste bandh hain sab kucha-e-qatil ke siva
baa'is-e-rashq hai tanharavi-e-rah_rau-e-shauq
hamsafar koi nahin doori-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mehfil ke siva
teg munsif ho jahan daar-o-rasan hon shahid
begunah kaun hai uss shehr mein qaatil ke siva
jaane kis rang se aayi hai gulshan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-silaasil ke siva,,

ali sardar jafri ki shayyiri

main jahan tumko bulata hun vahan tak aao
meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firdaus-e-javan tak aao
teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyam
teer ki tarah se aagosh-e-kamaan tak aao
phuul ke gird phiro baag mein manind-e-nasiim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahanum ki haden Khatm hui
ab hai firdaus hi firdaus jahaan tak aao
chhod kar vaham-o-gumaan husn-e-yahqin tak pahuncho
par yaqiin se bhi kabhi vaham-o-gumaan tak aao

ali sardar jafri ki shayyiri

sirf lahra ke reh gaya aanchal
rang ban kar bikhar gaya koi
gardish-e-khuun ragon mein tez hui
dil ko chuukar guzar gaya koi
phuul se khil gaye tasavvur mein
daman-e-shauq bhar gaya koi

ali sardar jafri ki shayyiri

meri vaadi mein vo ik din yun hi aa nikali thi
rang aur nuur ka behta hua dhaara ban kar
mehafil-e-shauq mein ik dhuum macha di ussne
Khalvat-e-dil mein rahi anjuman-aara ban kar
shola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune laga
udd gayi vo mere siine se sharara ban kar
aur ab mere tasavvur ka ufaq roshan hai
vo chamaktii hai jahaan gham ka sitara ban kar

ali sardar jafri ki shayyiri

tu mujhe itne pyar se mat dekh
teri palkon ke naram saaye mein
dhoop bhi chandni si lagti hai
aur mujhe kitni door jaana hai
reit hai garm, paaon ke chhale
yun dekhte hain, jaise angaare
pyar ki yeh nazar rahe na rahe
kaun dasht-e-waffa mein jalta hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itne pyar se mat dekh ........

Wednesday, June 10, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

main jahan tumko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firadus-e-jawan tak aao
tegh ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam
teer ki tarah se aagosh-e-kaman tak aao
phool ke gird phiro baagh mein maanind-e-naseem
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahanuum ki haden khatam hui
ab hai firadus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar veham-o-guman husn-e-yaqin tak pauhnchu
par yaqin se bhi kabhi veham-o-guman tak aao

wel come