Tuesday, July 7, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raaste band hain sab kuucha-e-qaatil ke siva
ba_is-e-rashq[cause for envy] hai tanharavi-e-rah_rau-e-shauq[the solitude of the path leading to one's desires]
hamsafar koi nahin duuri-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mehfil ke siva
teg munsif ho jahan daar-o-rasan[gallows and noose] hon shaahid[witness]
begunah kaun hai uss shahr mein qaatil ke siva
jaane kis rang se aayi hai gulshan mein bahaar
koi nagma hi nahin shor-e-silaasil[loud noise of leg irons] ke siva

No comments:

Post a Comment

wel come