main jahan tumko bulata hun vahan tak aao
meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firdaus-e-javan tak aao
teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam
teer ki tarah se aagosh-e-kaman tak aao
phuul ke gird phiro baag mein maniind-e-nasiim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke zahnnum ki haden khatam hui
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar vaham-o-guman husn-e-yahqiin tak pahuncho
par yaqiin se bhi kabhi vaham-o-guman tak aao
No comments:
Post a Comment