kitani pii kaise kati raat mujhe hosh nahin
raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin
mujhko ye bhi nahin mallum ki jaana hai kahan
thaam le koyi mera haath mujhe hosh nahin
aansuon aur sharabon mein guzar hai ab toh
maine kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahin
jaane kya tuuta hai paimana ki dil hai mera
bikhre bikhre hain khayalat mujhe hosh nahin
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label rahat indori ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 12, 2009
rahat indori ki shayyiri
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
itna darate hain toh phir ghar se nikalte kyun hain
main na juganu hun diya hun na koi tara hun
raushani wale mere naam se jalate kyun hain
neend se mera taalluq hi nahin barason se
khwab aa aa ke meri chhat pe tehalte kyun hain
mod hota hai jawaani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aake phisalte kyun hain

safar ki hadh hai vahan tak ke kuch nishan rahe
chale chalo ke jahan tak ye aasman rahe
ye kya uthaaye qadam aur aa gayi manzil
maza toh jab hai ke pairon mein kuch thakan rahe
vo shaks mujhko koi jaal_saaz lagata hai
tum ussko dost samajhte ho phir bhi dhyan rahe
mujhe zamiin ki geharayion ne daab liya
main chahta tha mere sar pe aasmaan rahe
ab apne beech maraasim nahin adavat hai
magar ye baat hamare hi darmiyan rahe
magar sitaron ki faslen uga saka na koi
meri zamiin pe kitne hi aasman rahe
vo ek sawal hai phir usska samana hoga
dua karo ke salamat meri zabaan rahe

intzamat naaye sire se sambhale jaayen
jitne kam_zarf hain mehafil se nikale jaayen
mera ghar aag ki lapaton mein chhupa hai lekin
jab maza hai tere aangan mein ujaale jaayen
gham salamat hai toh peete hi rahenge lekin
pehle maikhane ki haalat sambhale jaayen
khaali waqton mein kahin baith ke roa len yaaro
fursaten hain toh samandar hi khangale jaayen
khaak mein yun na mila zabt ki tauheen na kar
ye vo aansun hain jo duniya ko baha le jaayen
ham bhi pyase hain ye ehsaas toh ho saaqi ko
khaali sheeshe hi havaaon mein uchhale jaayen
aao shehr mein naye dost banayen "rahat"
aastiinon mein chalo saanp hi paale jaayen

peshaniyon pe likhe muqaddar nahin mile
dastaar kahan milenge jahan sar nahin mile
aawargi ko duubte suraj se rabt hai
magreeb ke baad ham bhi toh ghar par nahin mile
kal aaiinon ka jashn hua tha tamam raat
andhe tamash_binon ko patthar nahin mile
main chahta tha Khud se mulaqat ho magar
aaiine mere qad ke barabar nahin mile
pardes ja rahe ho toh sab dekhte chalo
mumkin hai vapas aao toh ye ghar nahin mile

chehron ki dhoop aankhon ki geharayi le gayaa
aaiina saare shehr ki beenaai le gaya
doobe huye jahaaz pe kya tabsara karein
ye hadasa toh soch ki gaharayi le gaya
haalaanki be-zuban tha lekin ajeeb tha
jo shaks mujhse chheen ke goyai le gaya
iss waqt toh main ghar se nikalne na paaonga
bas ek kameez thi jo mera bhai le gaya
jhoote qaseede likhe gaye usski shaan mein
jo motiyon se chhiin ke sachchai le gaya
yaadon ki ek bheed mere saath chhod kar
kya jaane vo kahan meri tanhai le gaya
ab asad tumhare liye kuch nahin raha
galiyon ke saare sang toh saudai le gaya
ab toh khud apni saansein bhi lagti hain bojh si
umaron ka dev saari tavanai le gaya

shehr mein dhund raha hun ke sahara de de
koi hatim jo mere haath mein kaasa de de
ped sab nange faqiiron ki tarah sehme hain
kis se ummiid ye ki jaaye ki saaya de de
waqt ki sang_zani noch gayi saare naqash
ab vo aaiina kahan jo mera chehra de de
dushmanon ki bhi koi baat toh sach ho jaye
aa mere dost kisi din mujhe dhoka de de
main bahut jald hi ghar laut ke aa jaaunga
meri tanhayi yahan kuch dinon pehara de de
duub jaana hi muqadar hai toh behtar varana
tune patvaar jo chhini hai toh tinka de de
jis ne qataron ka bhi mohtaj kiya mujhko
vo agar josh mein aa jaaye toh dariya de de
tumko "rahat" ki tabiyat ka nahin andaza
vo bikhari hai magar maango toh duniya de de

aankh pyasi hai koi manzar de
iss jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talash karna hai
gar nahin aaina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshani bhar de
pattharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kehkahon mein guzar rahi hai hayyat
ab kisi din udaas bhi kar de
phir na kehna ke khudkushi hai gunah
aaj fursat hai faisla kar de
iss jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talash karna hai
gar nahin aaina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshani bhar de
pattharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kehkahon mein guzar rahi hai hayyat
ab kisi din udaas bhi kar de
phir na kehna ke khudkushi hai gunah
aaj fursat hai faisla kar de
rahat indori ki shayyiri
masjidon ke sehan tak jaana bahut dushvaar tha
der se nikla toh mere raaste mein daar tha
apne hi phalon ke nashe men khoya tha darakht
aur har masoom tahani par phalon ka baar tha
dekhte hi dekhte sheharon ki raunaq ban gaya
kal yahi chehara tha jo har aaiine pe baar tha
sab ke dukh sukh usske chehre pe likhe paaye gaye
aadami kya tha hamare shehr ka akhbar tha
ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai naseeb
ek zamana tha ke jab main bhi bahut Khuddar tha
kaghazon ki sab siyaahi baarishon mein dhul gayi
ha ne jo socha tere baare mein sab bekaar tha

har ek chehre ko zakhmon ka aaiina na kaho
ye zindgi toh hai raehmat isse saza na kaho
najane kaun si majburiyon ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai toh bewaffa na kaho
tamaam shehr ne nezon pe kyun uchhala mujhe
ye ittefaaq tha tum issko hadsa na kaho
ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo mera dost tha kal tak usse bura na kaho
hamare aib hamen ungaliyon pe ginvaao
hamari peeth ke peechhe hamen bura na kaho
main vaqiyaat ki zanjeer ka nahin qaayal
mujhe bhi apane gunaahon ka silsilaa na kaho
ye shehr vo hai jahan raakshas bhi hai "rahat"
har ek taraashe huye buut ko devta na kaho

Friday, May 29, 2009
rahat indori ki shayyiri
har ek chehre ko zakhmon ka aiina na kaho
ye zindagi toh hai rehmat, isse saza na kaho
na jaane kaun si majaburiyon ka qaidi ho
vo saath chod gaya hai toh bewaffa na kaho
tamaam shehar ne nezo pe kyun uchhala mujhe
ye ittefaaq tha, tum issko haadsa na kaho
ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo mera dost tha kal tak, usse bura na kaho
hamare aib hamen ungliyon pe ginvao
hamari peeth ke pichhe hume bura na kaho
main waqiyaat ki zanjeer ka nahi qayal
mujhe bhi apne gunaahon ka silsila na kaho
ye shehr vo hai jahan raakshas bhi hai 'rahat'
har ek tarashe huye buut ko devta na kaho

apna chehra talaash karna hai
gar nahi aiina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshni bhar de
patharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kah-kahon mein guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de
iss jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talaash karna hai
gar nahi aiina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshni bhar de
patharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kah-kahon mein guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de
Tuesday, March 31, 2009
rahat indori ki shayyiri
उसकी आँखों में है जादू- वादू ..टोना-वोना..जंतर -मंतर ..सब
चक्कू -वक्कू.........छुरिया-वुरिया .........खंजर -वंजर सब
मैं कब डूबूँगा ये फ़िक्र करते है .......
कश्ती-वश्ती..दरिया-वरिया..लंगर-वंगर ..सब
और तू जबसे गयी है छोड़ के मुजको ....
रूठ गए है मुजसे .बिस्तर-विस्तर..तकिया-वकिया..चद्दर-वद्दर .सब
ऐसा भी नहीं के वो खुश है ..बिछड़ के मुजसे ....
फीके पड़ गए उसके .बिंदिया -विन्दिया ..गहिने-वहीने...जेवर-बेवर सब

usski ankhon mein hain jaadu-vadu,tona-vona, jantar-mantar sab
chaku-vaku, churiya-vuriyan, khanjar-vanjar sab
main kab dubunga ye fikar karte hai
kashti-vashti, dariya-variya, langar-vangar sab
aur tu jabse gayi hai chhod ke mujhko
rooth gaye hai mujhse bistar-vistar, takiya-vakiya,chadar-vadar sab
aisa bhi nahin ke vo khush hai bichhad ke mujhse
finke pad gaye usske bindiya-vindiya, gehane-vehane, jevar-bevar sab

Subscribe to:
Posts (Atom)