aankh pyasi hai koi manzar de
iss jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talash karna hai
gar nahin aaina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshani bhar de
pattharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kehkahon mein guzar rahi hai hayyat
ab kisi din udaas bhi kar de
phir na kehna ke khudkushi hai gunah
aaj fursat hai faisla kar de
No comments:
Post a Comment