Showing posts with label adam ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label adam ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

idhar se aa hi gaye ho sahib toh

idhar se aa hi gaye ho sahib toh hum garibon se bukhal kaisa
yahan bhi imshab[aaj raat] qiyaam kar lo, duaieN dega garib_khana

Sunday, August 23, 2009

barsaat ki awaaz

kisne khola hai hawa mein gesuon ko naaz se
narm rau barsaat ki awaaz aati hai mujhe

raast bazi

issi ko kehte hain bartaav raast bazi[honest] ka
dikhai kuch diya aur baad mein tu kya nikla

gunah

ae 'adam' sab gunah kar lekin
doston se riya ki baat na kar

Wednesday, July 29, 2009

jab gardishon mein jaam thay

jab gardishon mein jaam thay
kitne hasiin ayyaam thay
ham hi na thay ruswa faqat
vo aap bhi badnaam thay
kehte hain kuch arsa hua
qaabe mein bhi asanaam thay
anjaam ki kya sochte
na-waaqif-e-anjaam thay
ahad-e-jawani mein 'adam'
sab log gulandaam thay

Sunday, June 28, 2009

adam ki shayyiri

teri dushmani ka main shaaki[shikyat karna] nahi
hasin zulm bhi ek ayzaaz hai

adam ki shayyiri

shaq hai ki rahjanon mein sharaafat thi be-hisab
varna main kaise bachta bachata chala gaya

adam ki shayyiri

jii khush hua hai masjid-e-viraan ko dekh kar
meri tarah khuda ka bhi khana-kharab hai

adam ki shayyiri

badi shai hai vabastgi[relation] do dilon ki
ye pabandhiyan hi to aazadiyan hai

Tuesday, June 23, 2009

adam ki shayyiri

bheji thi iltjaa toh khuda ko magar 'adam'
aayin sanam ke ghar se marz ki dawaiiyan

Monday, June 22, 2009

adam ki shayyiri

idhar se aa hi gaye ho saahib toh hum gariibon se bukhal kaisa
yahan bhi imshab[aaj raat] qayaam kar lo, duaien dega gariib_khana

adam ki shayyiri

zurm ka jab bhi irtikaab[tocommit sin] hua
kitna khush qalb-e-na_muraad hua

adam ki shayyiri


ye chaandi si baahein, ye phoolon se lab
kisi din innhen meri imlaak[property] kar

adam ki shayyiri


jo kuch bhi hum nidarr aur betaklluf kar guzarte hain
vo saari aapki taamil-e-irshadaat[hukam] hota hai

Thursday, June 4, 2009

adam ki shayyiri

maikada tha chandni thi main na tha
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todata tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tuur par chheda tha jisne aap ko
vo meri diwangi thi main na tha
maikade ke mod par rukati hui
muddaton ki tishnagi thi main na tha
main aur us gunchaadahan ki aarzu
aarzu ki saadgi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhana zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein 'adam' hairat-farosh
do jahan ki badzanii thi main na tha

Saturday, May 30, 2009

adam ki shayyiri

meri aur usski nigahon ka tasaadum kuch na puch
bekhudi mein aaiine se aaiina takra gaya

Friday, May 29, 2009

adam ki shayyiri

vo aisi kaun si shai hai jo usske paas nahin
khuda tavn'garo-sarmayadaar[wealthy] hai saaqi

Thursday, May 21, 2009

adam ki shayyiri


tere fuyuuz ka koi sumar hai saqi
jidhar nigah uthao, bahaar hai saqi

adam ki shayyiri

dushmani bando se, yazdaan se akeedat itni
haznate shekh, ye kis nau'aa[kind] ki ayyari hai

adam ki shayyiri

nok-e-abroo ko taan lete hain
kis ada se vo jaan lete hain

wel come