teri bazm-e-tarab mein soz-e-pinhan le ke aaya hun
chaman mein yaad-e-ayyam-e-baharan le ke aaya hun
teri mehafil se jo armaan-o-hasrat le ke nikala tha
vo hasrat le ke aaya hun vo araman le ke aaya hun
tumhaare vaaste ae dosto main aur kya laata
vatan ki subah aur shaam-e-gareeban le ke aaya hun
main apne ghar mein aaya hun magar andaaz toh dekho
ke apane aap ko maanind-e-mahaman le ke aaya hun
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label jagannath azad ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label jagannath azad ki shayyiri. Show all posts
Tuesday, June 16, 2009
jagannath azad ki shayyiri
mumkin nahin ki bazm-e-tarab[joyous gathering] phir saja sakun
ab ye bhi hai bahut ki tumhen yaad aa sakun
ye kya tilesm hai ki teri jalvagah se
nazdeek aa sakun na kahin duur ja sakun
zauq[tasteful] -e-nigah aur baharon ke darmiyan
parde gire hain vo ki na jinko utha sakun
kis tarah kar sako baharon ko mutamein[satisfied]
ahal-e-chaman jo main bhi chaman mein na sakun
teri hasin fiza mein mere ae naaye vatan
aisa bhi hai koi jise apna bana sakun
'azad' saaz-e-dil pe hain raqsan ke zam-zame
khud sun sakun magar na kisi ko suna sakun

Subscribe to:
Posts (Atom)