Showing posts with label aziz kashmiri ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label aziz kashmiri ki shayyiri. Show all posts

Thursday, July 9, 2009

aziz kashmiri ki shayyiri

haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaaye
dil ke ujade hue gulashan mein bahaar aa jaaye
dil toh kehta hai ki aankhon mein chhupaa lun tujhko
dar yahi hai ki muqaddar ko nakaar aa jaaye
dil ke zakhmon pe mere pyar ka maraham rakh do
beqarari mein mujhe kuch toh qaraar aa jaaye
yun khuda ke liye chhiino na mere hosh-o-hawas
aisi nazaron se na dekho ki khumar aa jaaye
chhod ke tum bhi chale jaaogi qismat ki tarah
baad azaane toh ajal hi ko na pyar aa jaaye

aziz kashmiri ki shayyiri

tum aankhon se duur ho hui niind aankhon se duur
mere saathi gham ki chot se hua dil ka shiisha chuur
mujhe shikwa hai taqadeer se nahin tumse koi gila
mujhe la kar yun pardes mein mera sab kuch chhiin liya
meri aankhon mein aansu aa base hun rone par majbuur
mere zakhm huye pardesiya aa ris-ris ke nasuur
mujhe rogi karke pyar ka diya gham ka rog laga
mere jalte huye charag ko meri qismat gayi bujha
mujhe dhoka diya nasiib ne nahin mera koi kasoor

wel come