Showing posts with label amir kazalbaash ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label amir kazalbaash ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

ru-ba-ru

kisi din mujhko mere ru-ba-ru la
izafa kar meri hairaniyon mein

Tuesday, July 7, 2009

amir kazalbaash ki shayyiri

zindagi tujhko manaane nikle
ham bhi kis darja diiwane nikale
kuch toh dushman thay mukhaalif-saf[in the enemy camp] mein
kuch mere dost purane nikle
nazar_andaaz kiya hai ussne
khud se milne ke bahane nikle
be-basarat[blind] hai ye basti yaaro
aaiina kis ko dikhane nikle
inn andheron mein jiyoge kab tak
koi toh shamaa jalaane nikle

amir kazalbaash ki shayyiri

unnki berukhi mein bhi iltefaat[kindness] shaamil hai
aaj kal meri haalat dekhane ke qaabil hai
qatl ho toh mera sa maut ho toh meri si
mere sog_vaaron mein aaj mera qaatil hai
muztarib[agitated] hain maujen kyun uth rahe hain tufan kyun
kya kisi safiine ko aarzu-e-saahil hai
sirf rah_zan hi se kyun 'ameer' shikwa ho
manzilon ki raahon mein raah_bar bhi shaamil hai

amir kazalbaash ki shayyiri

jagmagaate shahr ki ranaiiyon mein kya na tha
dhundhane nikla tha jis ko main vahi chehra na tha
reit pe likhe huye naamon ko padh kar dekh lo
aaj tanha rah gaya hun kal magar aisa na tha
ham vahi tum bhi vahi mausam vahi manzar vahi
fasala badh jaayega itna kabhi socha na tha
fikr ke dar pe koi aahat koi dastak nahin
vo faqat biimar jis ka koi ham_saaya na tha
chhod aaya jin safiinon ko talaatum ke qariib
nakhuda unn mein tera shayad koi apna na tha

amir kazalbaash ki shayyiri

dil mein kis darja bedili hai abhi
har khushi jaise ajnabi hai abhi
phir badhe hain qadam teri jaanib
tere gham mein bhi dil_kashi hai abhi
main bhi tujhse bichhad ke sar-gardaan[distressed]
teri aankh mein bhi nami hai abhi
maine maana bahut andhera hai
phir bhi thodi si roshni hai abhi

amir kazalbaash ki shayyiri

aaj ki raat bhi guzari hai meri kal ki tarah
haath aaye na sitaare tere aanchal ki tarah
raat jalati hui ik aisi chita hai jis par
teri yaaden hain sulagate huye sandal ki tarah
tu ki dariya hai magar meri tarah pyaaa hai
main tere paas chala aaunga baadal ki tarah
main hun ik khwab magar jaagati aankhon ka ‘ameer’
aaj bhi log gavaan de na mujhe kal ki tarah

Friday, May 29, 2009

amir kazalbaash ki shayyiri

main bhi tujhse bichad ke sargarda[pareshan]
teri aankhon mein bhi nami hai baaqi

Friday, April 17, 2009

amir kazalbaash ki shayyiri

kisi din mujhko mere ru-ba-ru la
izaafa kar meri hairaaniyon mein

wel come