rukuaa[letter] chori se usse bheja hai anjaan ke haath
kaisi ruswai ho, padh jaaye jo darbaan ke haath
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label ibrahim zauq ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009
Wednesday, July 29, 2009
hai tere kaan zulf-e-muimbar lagi hui
hai tere kaan zulf-e-muimbar lagi hui
rakhegi ye na baal barabar lagi hui
baithe bhare huye hain kham-e-mai ki tarah ham
par kya karen ke muhar hai munh par lagi hui
mayyat ko gusal diijo na khaak_saar ki
hai tan pe khaak-e-kucha-e-dilbar lagi hui
nikle hai kab kisi se bhi usski mizha ki nok
hai phaans si kaleje ke andar lagi hui
ae 'zauq' dekh dukhtar-e-raz ko na munh laga
chhut'tii nahin hai munh se ye kaafir lagi hui

lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale

tum aag lene aaye thay kya aaye kya chale
bal be garuur-e-husn, zamiin par na rakhe paaon
maninde aaftab vo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri ham ke juun nasiim
aaye thay sar pe khaak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigaah
dekha, jahan se saaf hi ahale safa chale
saath apne le ke tausane umre ravaan ko aah
ham iss saraaye dahar mein kya aaye kya chale
fikare qaynaat unnko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hawa chale
ae ‘zauq' hai gazab nigahe yaar, alhafeez !
vo kya bache ke jis pe ye tiir-e-qaza chale

na karta zabt main
na karta zabt main naala toh phir aisa dhuun uth'ta
ki niiche aasman ke aur naya ik aasman hota
jo rota khol kar jii tangna-e-dahar mein aashiq
toh juu-e-kehkashan mein bhi falak par khun ravaan hota
bagula gar na hota vaadi-e-vehshat mein ae majnuun
toh gumbad hamse saragashton ki tubat par kahan hota
na karta zabt main giriya toh ae 'zauq' ik ghadi bhar mein
katore ki tarah ghadiyal ke garq aasman hota

uss lab-o-chashm se hai
niim_cha yaar ne jis waqt bagal mein maara
jo chadha munh usse maidan-e-azal mein maaraa
uss lab-o-chashm se hai zindgi-o-maut apni
kab-kabhi pal mein jilaya kabhi pal mein maaraa
azal aayi na shab-e-hizr mein aur hamko falak
be_azal tu ne tamnnaa-e-azal mein maara
aankh se aankh hai ladti mujhe dar hai dil ka
kahin ye jaaye na iss joang-o-jadal mein maara
na hua par na hua miir ka andaaz nasiib
'zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara

Thursday, July 16, 2009
ibrahim zauq ki shayyiri
qayamat ko bhi kya insaaf apna ae sitamgar ho
abhi qissa na ho aakhir ki aakhir roze-mehshar[qayamat ka din] ho
harm ko jaaye zahid hum oh maikhane ko chalet hain
mubarak ussko taufe-qaba[qabe ka chakar] humko daure-saagar ho
nasha tuute tere saagar-kashe-vehshat ka kya mumkin
agar sau tukde sange-kodka’n se kasaye-sar[khopadi] ho
mujhe sehne-chaman bhi arsagaahe-hashr[qayamat ka maidan] ho tujh bin
gule-khursiid[surajmukhi ka phool] mere vaste khursiid-e-mehshar[qayamat ka suraj] ho
jo khoye aapko veh manzil maksood ko puhnche
teri guumgashtgi[kho jana] iss raah mein ae ‘zauq’ rehbar ho

pathra diya zalwe ne tere chashme-sanam ko
chakra diya ghamze[ada] net ere taufe-haram[kabe ka chakar] ko
jab se ki likha hai tera wasfe-rukhe-zeba[sundar much ka guun]
chuume hai kalme-loh ko aur loh kalam ko
jaaye na qazi[tedapan]taba’ye-zaffa-pesha ki[nature of bad one] hargiz
kis tarah nikale koi shamsheer ke kham ko
kya dega dam aa kar kisi bedam ko masiha
allah salamat rakhe iss teg ke dam ko
bad ho koi ya nek raqam[likhna] kaam hai usska
ahvale-bad-o-nek se kya kaam qalam ko

din kata, jaiye ab raat kidhar kaatne ko
jabse veh ghar mein nahin, daude hai ghar kaatne ko
haaye sayyaad[shikari] toh aaya mere par kaatne ko
main toh khush tha ki chhuri laaya hai sar kaatne ko
apne aashiq ko na khilvao kani here ki
usske aansu hi kifayat[kaafi] hai jigar kaatne ko
veh shajar[tree] hun na gulo-baar na saya mujh mein
baagbaan ne laga rakha hai magar kaatne ko
shah hi se dil-e-betaab ka hai ‘zauq’ ye haal
hai abhi raat padi char pehar kaatne ko

tamnna nahin hai ki imdaade-dil ko
tapish ka sila ho ki muzde-kalaq [ranj roopi majduuri] ho
yahi haq hai, qatil agar haq dilaye
ye bismil tere paanv par jaan-behak[marr jaaye] ho
kitabe-muhbbat mein ae hazrate-dil
batao kit um lete kitna sabak ho
ke jab aankar tumko dekha toh veh hi
liye daste-afsos ke do warq ho
meri zindgi thi abhi ae sitamgar
masihaai jo kar gayi teri thokar
ke thukarya tune toh tha yun samjhkar
nikal jaaye jaan kuch jo sad’de-ramaq[jaan nikalne mein rukavat] ho

rind-e-kharab-haal ko zahid na ched tu
tujhko parai kya padi apni nibayd tu
umar-e-rava’n ka tausne-chalaak[tez godha] iss liye
tujhko diya tha yaa’n se kare jald aed tu
yeh tangna-e-dahar[choti duniya] nahin manzil-e-faraag[araam ki jagah]
gaafil na paanv hirs ke phaila , sukaed tu
awargi se kuye-muhbbat ki haath utha
ae ‘zauq’ yeh utha na sakega khakhed[jhanjhat] tu

shauq masti mein hai gulgashte-chaman[bag ki shaer] ka humko
chahiye ja-e-asaa[chhadi ki jagah] garden-meena[surahi ki garden] humko
hovega kashtiye-tufaan-zadaa[ghirna]taabut apna
aa gaya apne agar marne pe rona humko
hum vo majnu hain ki gar ram[bhagna] Karen aahu[hiran] ki tarah
bhage hai duur hi se dekh ke sahra[jangal] humko
hum na kehte thay ki ‘zauq’ usski tu zulfon ko na chhed
ab vo barham hai toh hai mujhko kalaq ya humko
ba’ase rask[jalan ka kaaran] hua ishq hamra humko
tujhpe bin dekhe hai gash jisne hai dekha humko
hum vo hain garm-rave-rahe-fana[jiwan ki raah mein tezi se chalna] jyun khursiid[sun]
saaya tak bhaag gaya dekh ke tanha humko
dekh aakhir ko na phode ki tarah photo bahe
hum bhare baithe thay, kyun aapne chheda humko
tu hansi se ye na keh marte hain hum bhi tujh par
maar hi daalega bas rasq hamara humko
wasl ka usske tasvuur jo bandha rehta hai
toh maze hazir mein bhi aate hain kya kya humko
‘zauq’ baazigahe-tiflaa’,[bachcho ke khelne ki jagah] hai sarasar ye zamiin
saath ladkon ke pada khelna goya humko

zahid-e-gumrah ke main kis tarah humraah hun
vo kahe ‘allah hu’ aur main kahun ‘allah hun’
vo kahe ‘allah hu’ aur main kahun ‘allah hun’
ibrahim zauq ki shayyiri
jis jagah baithe hain ba_deeda-e-nam[aankhon mein aansu bharna] utthe hain
aaj kis shaks ka munh dekh ke hum utthe hain
aaj kis shaks ka munh dekh ke hum utthe hain
ibrahim zauq ki shayyiri
seena-o-dil pe mere zakhme-jigar hanste hain
hasne do charagaro haste hi ghar baste hain
qamden aur bhi yun toh kamnd-andaaz rakhte hain
teri zulfon ke kham kuch aur hi andaaz rakhte hain
hasne do charagaro haste hi ghar baste hain
qamden aur bhi yun toh kamnd-andaaz rakhte hain
teri zulfon ke kham kuch aur hi andaaz rakhte hain
ibrahim zauq ki shayyiri
kare vehshat bayan chashme-sukhango[speaking eyes] issko kehte hain
ye sach kehte hain sar chadh bole jaadu issko kehte hain
gawara talkhi-e-mai kyun na ho hum khasta-jaano’n ko
ki daaru talkh hi behtar hai, daaru issko kehte hain
jo puche aql yeh dil se bata kya naam hai tera
kaho diwana-e-chashme-pariiru[lover of beautiful eyes] issko kehte hain
khinchi sheeri’n na dil se, kohkan[farhaad] ne koh[pahad] ko kaata
muhbbat yeh nahin hai, zore baazu issko kehte hain
azal sau baar aayi ‘zauq’ par jab tak na vo aaye
na paaya dam niklne mera, qaabu issko kehte hain

aaj unnse muddai kuch mudda kehne ko hain
yeh nahin mallum kya kehvenge kya kehne ko hai
dekhe aaiine bohat, bin khaak hain na_saaf sab
hain kahan ahl-e-safa, ahl-e-safa kehne ko hain
dam-b-dam ruk-ruk ke hai munh se nikal padhti zaban
wasf usska keh chuke favare ya kehne ko hain
dekh le tu puhnche kis aalam se kis aalam mein hain
nalah-e-dil hamare narsa[target tak nahi puhnchna] kehne ko hain
be-sabab sufaar[teer ka munh] unnke munh nahin khole hain ‘zauq’
aaye paike-marg[[maut ka devta] paigame-qaza kehne ko hain

jeete hi ji kya mulk-e-fana mein saath basher ke jhagde hain
mar ke idhar se jab ki chote toh ja ke udhar ke jhagde hain
kaisa momin[religious muslim], kaise kaafir, kaun hai sufi, kya hai rind
saare basher hain bande-haq[God] ke, saare shar[paap] ke jhagde hain
gham kehta hai dil mein rahun main jalwe-e-jaana kehta hai main
kisko nikalun kisko rakhun yeh toh ghar ke jhagde hain
‘zauq’ murtiiz kyunki ho diva’n shikwe-e-fursat kis se karen
bandhe gale mein humne apne aap ‘zafar’ ke jhagde hain

veh din hai kaun-sa ki sitam par sitam nahin
gar yahi sitam hain roz toh ik roz hum nahin
yeh dil mujhe duubo ke rahega, ki seene mein
veh kaun-sa hai daag jo girdabe-gham[dukh ka banwar] nahin
ahl-e-safa[achche log] ka dekha na daaman kisi ne tar
gauhar hai apni aab mein gark aur nam nahin
gar aabe-deed[aansu] sharbate-kausar[zannat ki sarab] bhi hai toh kya
jab tak ki uss mein chasni-e-dardo-gham nahin
jaata hai aankhein bandh kiye ‘zauq’ tu kahan
yeh raahe-kuye-yaar hai raahe-adam[maut ki raah] nahin

vo dekhen bazm mein pehle kidhar ko dekhte hain
muhbbat ! aaj tere hum asar ko dekhte hain
hum unnke kothe pe chadh kar hain dhondhte mah-e-eid
kidhar ko chand hai aur hum kidhar ko dekhte hain
na pucho shagalasiri mein hum garibon ka
kabhi kafas[cage] ko kabhi baalo-par ko dekhte hain
arq[pasiina] ke katre nahin dekhte hain uss rukh par
sitare dhoop mein hum dopahar ko dekhte hain
ayyar[kharapan] naqde-muhbbat [prem ropi dhan] ko dekh sakhti par
laga ke ‘zauq’ kasuti pe zar[sona] ko dekhte hain

gujarti umr hai yun daur-e-aasmani mein
ki jaise jaaye koi kasti-e-dukhani[steam boat] mein
rukaav khoob nahin taba’aa[kalpana] ki ravani mein
ki buu fasaad ki aati hai bandh paani mein
nahin khizaab se matlab hamen, ye muye-safed[safed baal]
siyah_posh huye matm-e-jawani mein
kahun main apni kahani toh vo ye kehte hain
bagaiir jhooth nahin aur kuch kahani mein
bajuuz[siva] nisaar ali shah kaun jaane ‘zauq’
teri zaban ka maza teri shair_khwani[shair padhna] mein

Subscribe to:
Posts (Atom)