lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye thay kya aaye kya chale
bal be garuur-e-husn, zamiin par na rakhe paaon
maninde aaftab vo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri ham ke juun nasiim
aaye thay sar pe khaak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigaah
dekha, jahan se saaf hi ahale safa chale
saath apne le ke tausane umre ravaan ko aah
ham iss saraaye dahar mein kya aaye kya chale
fikare qaynaat unnko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hawa chale
ae ‘zauq' hai gazab nigahe yaar, alhafeez !
vo kya bache ke jis pe ye tiir-e-qaza chale
No comments:
Post a Comment