Showing posts with label yahya jasdanwalla ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label yahya jasdanwalla ki shayyiri. Show all posts

Friday, April 17, 2009

yahya jasdanwalla ki shayyiri

ek bekasi hai hizr ke maaron ke sath sath
tuta hai mera dil bhi sahaaron ke sath sath
jii bhar ke dekhane bhi na paaye thay chhup gaye
armaan bhi hain udaas nazaron ke sath sath
dil mein vafiir-e-shauq ka tufaan liye huye
khamosh jaagta hun sitaron ke sath sath
itani toh mehviyat ho tasavuur mein tere dost
khud ko bhi bhool jaaun nazaaron ke sath sath
'yahya' ye aag ishq ki phir bhi na bhujh saki
hai dil mein ashk-e-gham bhi sharaaron ke sath sath

yahya jasdanwalla ki shayyiri

dil ki lagi ko aur vo bhadka rahe hain aaj
sar taa paa bahaar bane ja rahe hain aaj
jaise ke ho raha hai tuluu aftaab-e-naaz
kuch aisi shaan se vo chale aa rahe hain aaj
thukara ke iltija ko paa-e-guroor se
armanon ka vo khoon kiye ja rahe hain aaj
vo pyar ki fizaayen vo rangeen sohabaten
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hain aaj
'yahya' gila karen bhi toh kis baat ka karen
apne kiye ki aap saza pa rahe hain aaj

wel come