Showing posts with label madanpal ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label madanpal ki shayyiri. Show all posts

Monday, June 15, 2009

madanpal ki shayyiri

javan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyaas toh bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na jii saka na jii sakega hosh mein
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilaye ja pilaye ja
na zikr kar hisaab ka sharab la sharab la

madanpal ki shayyiri

jab naam tera pyar se likhati hain ungaliyan
meri taraf zamane kii uthati hain ungaliyan
daman sanam ka haath mein aaya tha ek pal
din raat uss ek pal se mahakti hain ungaliyan
jis din se duur ho gaye uss din se hi sanam
bas din tumhare aane ke ginati hain ungaliyan
patthar tarash kar na bana taaj ek naya
fankaar ki zamaane mein katti hain ungaliyan

madanpal ki shayyiri

hamsafar ban ke ham saath hain aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhi ajnabi mod bhi ajnabi
jaayen ham kidhar ajnabi ajnabi
zindagi ho gayi hai sualgta safar
duur tak aa raha hai dhvuan sa nazar
jane kis mod par kho gayi har khushi
de ke dard-e-jigar ajnabi ajnabi
ham ne chun chun ke tinke banaya tha jo
aashiyaan hasaraton se sajaya tha jo
hai chaman mein vahi aashiyaan aaj bhi
lag raha hai magar ajnabi ajnabi
kis ko mallum tha din ye bhi aayenge
mausamon ki tarah dil bhi badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhi ajnabi
har ghadii har pehar ajnabi ajnabi

madanpal ki shayyiri


din aa gaye sabaab ke aanchal sambhaliye
hone lagi hai shahr mein halchal sambhaliye
chaliye sambhal sambhal ke kathin raah-e-ishq hai
naazuk badii hai aap ki payal sambhaliye
saj dhaj ke aap nikle sar-e-raah khaiir ho
takara na jaye aap ka pagal sambhaliye
ghar se na jaao duur kisi ajnabi ke saath
barasenge zor-zor se badal sambhaliye

wel come